Teri Nazar Mein Nayi Si Adaa Hai Lyrics

Lyrics & meaning

Mere Bina

Nikhil D'Souza

FromCrook (Original Motion Picture Soundtrack) ReleasedAugust 31, 2010

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Mere bina main rehne laga hoon
Teri hawa mein behne laga hoon
Jaane main kaise tera hua hoon

Mujhe toh lagta hai
Main shayad tere dil ki dua hoon, haan

Tujhko jo paaya, uh-huh, toh jeena aaya
Ab yeh lamha theher jaaye, tham jaaye
Bas jaaye hum dono ke darmiyaan

Pehle se zyada main ji raha hoon
Jab se main tere dil se juda hoon
Raahon pe teri main toh chala hoon

Tu meri manzil hai
Tere qadamon pe bas rukne laga hoon, haan

Tujhko jo paaya, uh-huh, toh jeena aaya
Ab yeh lamha theher jaaye, tham jaaye
Bas jaaye hum dono ke darmiyaan

Tujhko jo paaya, uh-huh, toh jeena aaya
Ab yeh lamha theher jaaye, tham jaaye
Bas jaaye hum dono ke darmiyaan

Teri nazar mein nayi si ada hai
Naya sa nasha bhi ghula hai
Kayi dino se bandha tha baadal jo
Tere hi baalon mein khula hai

Teri hadon mein (teri hadon mein) meri basar hai
Ab tujhe bhi (ab tujhe bhi) jaana kidhar hai?

Jahaan rahe tu (jahaan rahe tu)
Main woh jahaan hoon (main woh jahaan hoon)
Jise jiye tu (jise jiye tu)
Main woh samaan hoon (samaan hoon)
Teri wajah se (wajah se)
Naya-naya hoon (naya hoon)

Pehle kaha na maine
Ab yeh tumse kehne laga hoon, haan

Tujhko jo paaya, uh-huh, toh jeena aaya
Ab yeh lamha theher jaaye, tham jaaye
Bas jaaye hum dono ke darmiyaan

Tujhko jo paaya, uh-huh, toh jeena aaya
Ab yeh lamha theher jaaye, tham jaaye
Bas jaaye hum dono ke darmiyaan