Agar ghazala ko yeh tera naaz mile toh kaisa ho
Agar shagoofon ko tera andaaz mile toh kaisa ho

Mohabbat mein agar farishton ki koi taufeeq lage
Mumqin hai ke humko phir yeh falak bahut nazdeek lage

Abr humein neeche se dekhein, khush hokar aadaab kahein

Agar tasavvur ko itni parvaaz mile toh kaisa ho
Agar ghazala ko yeh tera naaz mile toh kaisa ho
Agar shagoofon ko tera andaaz mile toh kaisa ho
Abhi khayalon mein bhi jo yoon hosh uda le jaate hain

Shokh ada se kaise woh khaamosh uda le jaate hain
Main yeh baat tasavvur karke hi hairaan ho jaata hoon

Ke roo-ba-roo agar khwaabon ki Mumtaz mile toh kaisa ho
Agar ghazala ko yeh tera naaz mile toh kaisa ho
Agar shagoofon ko tera andaaz mile toh kaisa ho
Tum jab beparvaai mein halke se bhi kuch gaati ho

Baatein bhi afsaanon jaisi, aalam yoon mehkaati ho
Jisko sunke har dil ek masarrat haasil karta hai

Koyal ko ‘gar teri yeh aavaaz mile toh kaisa ho
Agar ghazala ko yeh tera naaz mile toh kaisa ho
Agar shagoofon ko tera andaaz mile toh kaisa ho
Khoob tarannum chhede aur jo naghmo ka humsafar bane

Ulfat ki iss jung-o-mehfil mein aashiq ka zafar bane

Uski nazmon aur tarzon ko dil-aavez bana de jo

‘Gar Sartaaj ko aisa koi saaz mile toh kaisa ho