Tera Yaar Hoon Main (From…

Lyrics & meaning

Tera Yaar Hoon Main

Arijit Singh

FromSonu Ke Titu Ki Sweety ReleasedFebruary 14, 2018

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Tu jo rootha toh kaun hasega?
Tu jo chhoota toh kaun rahega?
Tu chup hai toh yeh dar lagta hai
Apna mujhko ab kaun kahega?

Tu hi wajah, tere bina
Bewajah, bekaar hoon main
Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main

Aaja, ladein phir khilauno ke liye
Tu jeete, main haar jaaun
Aaja, karein phir wahi shararatein
Tu bhaage, main maar khaaun

Meethi si woh gaali teri
Sunne ko taiyaar hoon main
Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon…

Sajna de rang rangaiyan ve
Shaguna diyan shehnaaiyan ve
Dhol vajange, yaar nachange
Lakh-lakh deyo badhaaiyan ve

Khushiyan ‘ch nachda main phiraan
Hanjuaan ton bachda main phiraan

Oh, jaate nahi kahin rishte puraane
Kisi naye ke aa jaane se
Jaata hoon main toh mujhe tu jaane de
Kyun pareshaan hai mere jaane se?

Toota hai toh juda hai kyun?
Meri taraf tu muda hai kyun?
Haq nahi tu yeh kahe ke
Yaar ab hum na rahe

Ek teri yaari ka hi
Saaton janam haqdaar hoon main
Tera yaar hoon main

Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main