Tum kaho, chaand chaukor kar dein
Raat kar dein gulaabi, gulaabi
Tum kaho, chaand chaukor kar dein
Raat kar dein gulaabi, gulaabi
Tum kaho, sadkein ulti chala dein
Ismein bhi hai koi na kharabi
Tum kaho, indr-dhanushon ko modein
Yeh rahi aasmanon ki chaabi
Tum kaho, jugnuon ko bata dein
Apne ghar ka naya raasta bhi
Tum kaho, tumko jo chahiye, maang lena
Tum kaho, tumko jo chahiye, maang lena
Tum takalluf na karna zara bhi
Tum kaho, chaand chaukor kar dein
Raat kar dein gulaabi, gulaabi
Mohalle khoob hain in aasmanon mein
Tehel ke aana tum mere thikaanon mein
Khamoshi ke kile mein jaati ek gali
Sitare milte hain wahan dukaanon mein
Sitaron se agar main bhar loon mutthiyan
Main chaandni waraq pe likhoon chitthiyan
Jo lafz bheje the tumhare naam ke
Woh lafz jhaankte tumhare kaanon mein
Na mil sake the hum toh ab hain mil rahe
Saleti baadalon ke shamiyaanon mein
Jo baat tumne hai nahi kahi kabhi
Woh baat tum kaho kayi zabaanon mein
Tum kaho, chaand chaukor kar dein
Raat kar dein gulaabi, gulaabi
Tum kaho, chaand baalon mein jad dein
Tumko de-denge taaron ka gehna
Tum kaho, sardi ki dhoop de-dein
Usko khud se lapete hi rehna
Tum kaho, ek dariya manga dein
Machhliyon ki tarah usmein behna
Tum kaho, kya tumhari raza hai?
Mudda-e-ishq par kya hai kehna?
Tum kaho, tumko jo chahiye, maang lena
Tum kaho, tumko jo chahiye, maang lena
Tum takalluf na karna zara bhi
Tum kaho, chaand chaukor kar dein
Raat kar dein gulaabi, gulaabi