Tum Agar Saath Dene Ka Vada…

Lyrics & meaning

Tum Agar Saath Dene Ka Vada Karo

Mahendra Kapoor

Released2018-06-12 GenreBollywood

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Tum agar saath dene ka vaada karo
Main yun hi mast nagmein lutaata rahun
Tum mujhe dekhkar muskurati raho
Main tumhe dekhkar geet gaata rahun
Tum agar saath dene ka vaada karo
Main yun hi mast nagmein lutaata rahun

Kitne jalwe fizaaon mein bikhare, magar
Maine ab tak kisi ko pukara nahin
Tumko dekha to nazrein ye kehne lagi
“Humko chehre se hatna gawara nahin”

Tum agar meri nazron ke aage raho
Main har ek shaam se nazrein churaata rahu
Tum agar saath dene ka vaada karo
Main yun hi mast nagmein lutaata rahun

Maine khawabon mein barson tarasha jise
Tum wahi sang-e-marmar ki tasveer ho
Tum na samjho tumhara muqaddar hoon main
Main samajhta hoon tum meri taqdeer ho

Tum agar mujhko apna samjhne lago
Main bahaaron ki mehfil sajaata rahu
Tum agar saath dene ka vaada karo
Main yun hi mast nagmein lutaata rahun

Main akela bahut der chalta raha
Ab safar zindagani ka kat’ta nahin
Jab tak koi rangeen sahara nahin ho
Waqt qatil jawani ka kat’ta nahin

Tum agar hamqadam banke chalti raho
Main zameen par sitaare bichhata rahu
Tum agar saath dene ka vaada karo
Main yun hi mast nagmein lutaata rahu
Tum mujhe dekhkar muskurati raho
Main tumhe dekhkar geet gaata rahun