Yeh Raaten Yeh Mausam

Lyrics & meaning

Yeh Raaten Yeh Mausam

Kishore Kumar, Asha Bhosle

Released2017-09-28 GenreBollywood

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Kaha do dilon ne ki milkar kabhi hum na honge juda

Yeh kya baat hai aaj ki chaandni mein
Yeh kya baat hai aaj ki chaandni mein
Ki hum kho gaye pyaar ki raagini mein
Yeh baahein mein baahein, yeh behki nigaahein
Lo aane laga zindagi ka maza

Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Kaha, “Ab toh saara jahaan hai tumhara”
Mohabbat jawaan ho, khula aasmaan ho
Kare koi dil aarzoo, aur kya

Yeh raatein, yeh mausam, nadi ka kinara, yeh chanchal hawa

Qasam hai tumhein, tum agar mujhse roothe

Rahe saans jab tak yeh bandhan na toote
Tumhein dil diya hai, yeh vaada kiya hai
Sanam, main tumhaari rahungi sada