ye mumkin to nahi lyrics

Lyrics & meaning

Ye Mumkin To Nahi

Sahir Ali Bagga & Beena Khan

GenreSoundtrack

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Yeh mumkin toh nahi jo dil ne chaaha tha woh mil jaaye
Koi ummeed toote toh kya karein?
Yeh mumkin toh nahi jo dil ne chaaha tha woh mil jaaye
Koi ummeed toote toh kya karein?

Jo dekhe khwaab aankhon ne, haqeeqat woh na ban paaye
Jo qismat saath na de toh kya karein?

Yeh dil jo ro raha hai toh kahin se sabr mil jaaye
Hue jo bad-gumaan hum toh kya karein?
Yeh mumkin toh nahi jo dil ne chaaha tha woh mil jaaye
Koi ummeed toote toh kya karein?

Jo dil ke paas rehte hain woh dil kyun tod jaate hain?
Wafa ke badle kyun woh bewafai chhod jaate hain?
Kabhi jo humsafar the, ab wahi anjaan lagte hain
Mohabbaton ke woh rishte bhi toh bejaan lagte hain

Khushi ke dar pe dastak de rahe hain gham musalsal hi
Kahin na chain payein toh kya karein?

Kisi se humnawai ka sila humko na mil paaye
Hue jo bad-gumaan hum toh kya karein?
Yeh mumkin toh nahi jo dil ne chaaha tha woh mil jaaye
Koi ummeed toote toh kya karein?

Kisi ka saath paana bhi kabhi aasaan nahi hota
Kisi ke door jaane se yeh dil veeran nahi hota
Wajah kuch aur bhi mil jaati hai duniya mein jeene ki
Kisi ki aas pe jeena bhi toh aasaan nahi hota

Naseebon mein hi na likha ho toh woh kaise mil jaaye?
Khuda bhi rooth jaaye toh kya karein?

Yeh dil jo ro raha hai toh kahin se sabr mil jaaye
Hue jo bad-gumaan hum toh kya karein?
Yeh mumkin toh nahi jo dil ne chaaha tha woh mil jaaye
Koi ummeed toote toh kya karein?