yuhi baras baras kaali ghata barse lyrics

Lyrics & meaning

Zara Zara

GenreBollywood

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Zara-zara behekta hai
Mehekta hai aaj toh mera tan-badan
Main pyaasi hoon
Mujhe bhar le apni baahon mein

Zara-zara behekta hai
Mehekta hai aaj toh mera tan-badan
Main pyaasi hoon
Mujhe bhar le apni baahon mein

Hai meri kasam tujhko, sanam, door kahin na ja
Yeh doori kehti hai, “Paas mere aaja re”

Yuhi baras-baras kaali ghata barse
Hum yaar bheeg jaayein, iss chaahat ki baarish mein
Meri khuli-khuli laton ko suljhaaye
Tu apni ungliyon se, main toh hoon isi khwahish mein

Sardi ki raaton mein hum soye rahein ek chadar mein
Hum donon tanha hon, na koi bhi rahe iss ghar mein

Zara-zara behekta hai
Mehekta hai aaj toh mera tan-badan
Main pyaasi hoon
Mujhe bhar le apni baahon mein

Aaja re, aa re

Tadpaayein mujhe teri sabhi baatein
Ek baar, ae deewane, jhootha hi sahi, pyaar toh kar
Main bhooli nahi haseen mulaaqatein
Bechain karke mujhko, mujhse yoon na pher nazar

Roothega na mujhse, mere saathiya, yeh vaada kar
Tere bina mushkil hai jeena mera, mere dilbar

Zara-zara behekta hai
Mehekta hai aaj toh mera tan-badan
Main pyasi hoon
Mujhe bhar le apni baahon mein

Hai meri kasam tujhko, sanam, door kahin na ja
Yeh doori kehti hai, “Paas mere aaja re”

Aaja re, aaja re
Aaja re