wahi toh khuda hai lyrics

Lyrics & meaning

Wahi Toh Khuda Hai

GenrePop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Jo humse door nahi hai
Jo humse door nahi hai
Sabka huzoor wahi hai
Jo sabse bada hai

Wahi toh khuda hai
Wahi toh khuda hai

Pyaar ka behta samandar
(Samandar)
Baahar nahi, tere andar
Jo kab se basa hai

Wahi toh khuda hai
Wahi toh khuda hai
Jo ishq-e-bayaan hai
Wahi toh khuda hai

Tareef uski karein kya
Woh nek se bhi nek hai

Tareef uski karein kya
Woh nek se bhi nek hai
Mohabbat hai nazar mein teri
To sab mein wahi dekh hai

Woh behti hawaon ke jhonke mein hai
Wo mehki fiza mein na hoke bhi hai
Sabhi mein woh shaamil yahan

Baarish ka girta yeh paani
Mausam ke rang roohani
Haan, jiske gawaah hain

Wahi toh khuda hai
Wahi toh khuda hai
Jo lam se shifa hai
Wahi toh khuda hai

Wahi toh khuda hai (Jo humse door nahi hai)
Wahi toh khuda hai (Sabka huzoor wahi hai)
(Jo sabse bada hai) Wahi toh khuda hai
Wahi toh khuda hai (Wahi toh khuda hai)