Phirta Rahoon Dar Badar Lyrics

Lyrics & meaning

Teri Yaadon Mein

Shreya Ghoshal

FromThe Killer ReleasedJune 15, 2006

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Phirta rahoon dar-ba-dar
Milta nahi tera nishaan
Hoke juda kab main jiya
Tu hai kahan, main kahan

Teri yaadon mein khoya rehta hoon
Mujhko dasti hain tanhaaiyaan

Phirta rahoon dar-ba-dar
Milta nahi tera nishaan
Hoke juda kab main jiya
Tu hai kahan, main kahan

Tu jo juda ho gayi
Teri sada kho gayi
Dekh le phir zindagi
Haan, kya se kya ho gayi

Jab se bichhdi hoon, Rab se kehti hoon
“Kitna soona hai tera jahaan”

Phirta rahoon dar-ba-dar
Milta nahi tera nishaan
Hoke juda kab main jiya?
Tu hai kahan, main kahan

Kaise kate zindagi?
Mayusiyaan, bebasi
Raahein sabhi kho gayin
Roshni de, roshni

Main to rehti hoon teri raahon mein
Bekhabar, mujhko dhoondhe kahan?

Phirta rahoon dar-ba-dar
Milta nahi tera nishaan
Hoke juda kab main jiya
Tu hai kahan, main kahan

Teri yaadon mein khoya rehta hoon
Mujhko dasti hain tanhaaiyaan