Amare moina hubo ee
Barite bogori rubo ee
Barire bogori poki hori goley
Moinai butoli khabo
Seene mein samaya dard ka samandar
Rooh kaanp jaaye koi jhaank le ‘gar andar
Man up, if you cry you’re a loser
Beta, ladke rote nahi, bas chup kar
Baadal garjein toh maa se lipatkar
Aansu barsein toh duniya se chhupkar
Bete, chup kar, bete, chup kar
Ladke rote nahi hain, ladke rote nahi hain
Zimmedariyan palkon pe, ladke sote nahi hain
Ladke rote nahi hain, ladke rote nahi hain
Zimmedariyan palkon pe, ladke sote nahi hain
Mard ko dard nahi hota, dard-o-gham ka sar nahi hota
Khwaahishen adhoori, khwaab bhi adhoore
Kya woh sapne karta poore ‘gar ghar nahi hota?
Kuch bhi likhta ja raha, pata nahi kya likhun
My mamma called, “Hello?”
“Haan, maa, main theek hoon,” par main theek kahan hoon, mamma
Sirhane sar daba ke cheekh raha hoon, mamma, yeah
Sabko rakhna khush, isi zid pe ada hai
Akele andhere mein woh bhi toh dara hai
Khilaune tootne pe rota tha jo saari raat
Dil tootne pe aaj chup kaise khada hai?
Ladke rote nahi hain, ladke rote nahi hain
Zimmedariyan palkon pe, ladke sote nahi hain
Ladke rote nahi hain, ladke rote nahi hain
Zimmedariyan palkon pe, ladke sote nahi hain
Tang haalaaton mein, ankahi baaton mein
Yaadon ke kohre mein aap ko khote dekha hai
Roshan mehfilon mein muskurata woh bhi, par
Kaale sannaaton mein baap ko rote dekha hai
Baatein purani waapas use kheenchein
Poori jawani beeti kaghazon ke peeche
Kisi se kaha nahi, kahani reh gayi sunaani
Suna nahi suna chaand kitna badalon ke peeche
Ladke rote nahi hain (ladke rote nahi hain)
Ladke rote nahi hain (ladke rote nahi hain)
Zimmedariyan palkon pe (zimmedariyan palkon pe)
Ladke sote nahi hain (ladke sote nahi hain)
Ladke rote nahi hain (ladke rote nahi hain)
Ladke rote nahi hain (ladke rote nahi hain)
Ladkhadate-sambhalte (ladkhadate-sambhalte)
Hosh khote nahi hain
It’s okay to cry ‘gar ghar ki yaad aayi
Chhoote yaar, dost, bhai, ya behen ki vidaai
It’s okay to cry ‘gar woh call na uthaaye
Aur woh laut ke na aaye (at least you tried)