Abhi patjhad nahi aaya, abhi se patte jhad gaye

Bhai Rahgir, yeh hum kaun si gaadi pe chadh gaye?

Abhi hai baap zinda, bete batvare ko lad gaye

Reh ke bhookha, lad ke lekhak ban gaya
Jhukne ko kaha duniya ne, lekin tan gaya woh
Sabne kaha likh shehed, magar usne tejab likhi
Aur baatein bhi do-chaar nahi, ek poori kitaab likhi
Ek poori kitaab likhi
Thele pe samose ke uske phir panne fad gaye
Bhai Rahgir, yeh hum kaun si gaadi pe chadh gaye?
Bhai Rahgir, yeh hum kaun si gaadi pe chadh gaye?
Kisi kachre se beej liya, kisi naali se paani
Phir unse khel-khelkar kaati umar javaani
Jab baag laga toh nazrein tik gayi duniya waalon ki
Par usne wapas munh par maari daulat saalon ki
Arey, daulat saalon ki
Uske marte hi bete bik gaye, baag ujad gaye
Bhai Rahgir, yeh hum kaun si gaadi pe chadh gaye?
Bhai Rahgir, yeh hum kaun si gaadi pe chadh gaye?
Mele mein jo thi, sabse badhiya khareedkar
Bade chaav se laayi thi ek angiya khareedkar
Usko pehen gali mein ek chakkar lagane gayi
Nayi angiya mein kya lagti thi sabko dikhane gayi
Sabko dikhane gayi
Wapas aane se pehle hi taanke udhad gaye
Bhai Rahgir, yeh hum kaun si gaadi pe chadh gaye?
Bhai Rahgir, yeh hum kaun si gaadi pe chadh gaye?
Ek sayane ne kaha, “Toofan aayega
Sab kuch uda le jayega, ghamsaan aayega”

Par wahan pe jo the, saare ek se ek sayaane the
Aur sabke alag hi raag the, alag hi gaane the
Alag hi gaane the
Toofan se pehle hi haalaat bigad gaye
Bhai Rahgir, yeh hum kaun si gaadi pe chadh gaye?
Bhai Rahgir, yeh hum kaun si gaadi pe chadh gaye?
Sooraj ugne se lekar wapas ugne tak
Woh raha sochta sapno par hai uska haq
Par kaha baap ne, “Sun mera sapna purana
Jo main na kar paaya, tu woh karke dikhana
Woh karke dikhana”
Phir dabe-dabe dil mein uske woh sapne sad gaye