sukoon album lyrics

Lyrics & meaning

Qaraar

Sanjay Leela BhansaliShreya Ghoshal

FromSukoon ReleasedDecember 8, 2022

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Woh jo hum mein, tum mein qaraar tha
Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Woh jo hum mein, tum mein qaraar tha
Tumhein yaad ho ke na yaad ho

Wahi yaani waada nibaah ka
Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Woh jo hum mein, tum mein qaraar tha
Tumhein yaad ho ke na yaad ho

Woh naye gile, woh shiqayatein
Woh naye gile, woh shiqayatein
Woh maze-maze ki hiqayatein

Woh har ek baat pe roothna
Woh har ek baat pe roothna
Tumhein yaad ho ke na yaad ho

Woh jo hum mein, tum mein qaraar tha
Tumhein yaad ho ke na yaad ho

Koi baat aisi agar hui
Jo tumhare jee ko buri lagi
Koi baat aisi agar hui
Jo tumhare jee ko buri lagi

Toh bayaan se pehle hi bhoolna
Toh bayaan se pehle hi bhoolna
Tumhein yaad ho ke na yaad ho

Woh jo hum mein, tum mein qaraar tha
Tumhein yaad ho ke na yaad ho

Jise aap ginte the aashna
Jise aap kehte the, “Ba-wafa”
Main wahi hoon ‘Momin’-e-mubtala
Main wahi hoon ‘Momin’-e-mubtala
Tumhein yaad ho ke na yaad ho

Woh jo hum mein, tum mein qaraar tha
Tumhein yaad ho ke na yaad ho