Ek kachha ghada hoon main
Ek kachha ghada hoon main
Fir bhi barsaat mein khada hoon main
Boondein berehem hain, unko yeh vehem hai
Ke main toot raha hoon, jo main cheekh raha hoon
Par woh bewakoof hain, main to seekh raha hoon
Aise pehle bhi lada hoon main
Ek kachha ghada hoon main
Hum woh hain jo qismat ke chaanton ke shor pe naachte hain
Hum woh hain jo qismat ke chaanton ke shor pe naachte hain
Jitni zor ka chaanta, hum utni zor se naachte hain
Yeh jo khisak-khisak ke main aage ja raha hoon
Yeh jo fisal-fisal ke main peeche aa raha hoon
Yeh jo khisak-khisak ke main aage ja raha hoon
Yeh jo fisal-fisal ke main peeche aa raha hoon
Neeche hain khaaiyan, aur main kaanp raha hoon
Par zinda hoon abhi, abhi haanf raha hoon
Aise pehle bhi chadha hoon main
Ek kachha ghada hoon main
Ek toh raahon mein babool bahut hain
Uske oopar se apne usool bahut hain
Uske oopar se log tokte rehte hain
Ke Rahgir bhai, udhar jaao
Udhar phool bahut hain
Yeh jo has rahi hai duniya meri naakamiyon pe
Taane kas rahi hai duniya meri naadaniyon pe
Par main kaam kar raha hoon meri saari khaamiyon pe
Kal yeh maarenge taali meri kahaniyon pe
Kal jo badlegi havam, yeh saale sharmayenge
“Humare apne ho,” keh ke yeh baahein garmayenge
Kyonki ziddi bada hoon main
Ek kachha ghada hoon main
Fir bhi barsaat mein khada hoon main
Boondein berehm hain, unko yeh vehem hai
Ke main toot raha hoon, jo main cheekh raha hoon
Par woh bewakoof hain, main to seekh raha hoon
Aise pehle bhi lada hoon main
Ek kachha ghada hoon main