Yeah, yeah, yeah, yeah
Haan, 100 shabdon ki ek baat
Soche bina soya nahi ek raat
Likhe huye ho gaya hai ek saal
Raaz mehfooz mere chhe-saat
Doston ke paas, kyonki bhed chaal
Mein chalne waale karein itna bhed-bhaav
Shaitaan ne bola mujhe, “Seb kha”
Bhagwan ne bola, “Maatha tek aa”
Samaaj se pare in raahon mein yoon hi khelte hain
Ghis lenge ediyaan, par ghutne na tekne
Ab dekhte hi dekhte yoon beet gaye saal
Haan, main hoon pareshaan
Tabhi haathon mein yeh Juul hai na
Maa ko pata nahi, ladka rehta door hai na
Saza pata nahi, kathghara qabool hai na
Sudhar jaaunga jo ho gayi yeh bhool hai na
Dhool hai na aankhon mein abhi
Yeah, tha bachpan se yakeen
Bola-bola thak gaya, par yeh samjhte nahi hain
Par pitaaji ne bhi bola, “Aise bakte nahi hain
Kyun garajne waale baadal yoon baraste nahi hain?”
Jhoothi kala waale dilon mein yoon baste nahi hain
Jab se game bada hua yeh log hanste nahi hain
Abhi (haha!) samajhte nahi hain
Jab se game bada hua likhne lag gaye sabhi hain
Abhi toh, abhi toh dosti bojh hai
Sab jataane koi yoon khush hain, aise phone pe kyun hain?
“Tu toh bhool gayta mujhe,” bolte kyun hain?
Dogle kyun hain? Yeh khokle kyun hain?
Yeh trip jaa ke trip maarne ke josh mein kyun hain?
Toh abhi samajh nahi aata (abhi samajh nahi aata)
Umar meri ho gayi hai 22 (umar 22 meri)
Khayal mere ban rahe likhaai (ban rahe likhaawat)
Aur IIT baitha mera dost (IIT baitha dost)
IIIT baitha mera bhai (IIIT baitha mera bhai)
Number toh mere bhi 95 (95)
Par ghanta usse farak pada, bhai (farak pada, bhai)
Aur tab ICU mein tha mera dost (Aur tab ICU…)
Main khafa tha, main kiya na reply (Na reply)
Woh gaya bina bole goodbye (Na goodbye)
Akelepan se ab bhi lage darr
Nahi chaah ke bhi khayal khatkhatayein mere
Uh, haan, tu lakhon mein ek
Par koi baat nahi kare abhi aankhon mein dekh ke
Kyun chhupane ko toh baatein sabke paas hi anek hain?
Aur jo dost tere jalein toh tu haathon ko sek le
Meri baat nahi jame toh jazbaaton ko dekh le
Abhi jhoom gaye inki baaton ko leke
Abhi ghoom gaye inke vaade lapet ke
Aur jo khoon ko bahane se parhez karein
Right ke liye fight karna unhi ko
(Right ke liye fight karna unhi ko)
Aur sudharne ka time hi nahi
Sabhi kaanch leke ghoomein, yahan aaine nahi hain
Haath jodne ya kholne ke maayne nahi hain
Baahar kaayde nahi hain
Jhoom gaye inki baaton ko dekh ke
Abhi ghoom gaye inke vaade lapet ke
Aur jo khoon ko bahaane se parhez karein