Gali Gali Saj Gayi Lyrics

Lyrics & meaning

Gali Gali Saj Gayi

Syed Hassan Ullah Hussani

ReleasedAugust 26, 2024 GenreRegional Indian

About this song

Gali Gali Saj Gayi Naat Lyrics

Gali Gali Saj Gayi is a captivating Urdu Regional Indian masterpiece, brought to life by the artistic prowess of Syed Hassan Ullah Hussani. The lyrics of the song are penned by Rao Wasay & Syed Hassan Ullah Hussani. Gali Gali Saj Gayi was released on August 26, 2024. “Gali Gali Saj Gayi Naat Lyrics” has stayed with many, making it a song people naturally come back to again and again. Below, you’ll find the lyrics for Syed Hassan Ullah Hussani’s “Gali Gali Saj Gayi”, offering a glimpse into the profound artistry behind the song.

Listen to the complete track on Amazon Music

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Gali gali saj gayi, shahar shahar saj gaya
Aaye nabi, pyare nabi, mera bhi ghar saj gaya
Marhaba ya mustafa! Marhaba ya mustafa!

Mustafa se pyar hai, dil se ye iqraar hai
Har koi milad-e-nabi karne ko taiyyar hai
Marhaba ya mustafa! Marhaba ya mustafa!

Duniya mein jahan bhi raheñ, aabaad raheñge
Jo aamina ke laal ka milad karenge

Milad karenge! Milad karenge!
Milad karenge! Milad karenge!

Jhaṇḍe lagao! Ghar ko sajao!
Kar ke charaġān ḳhushiyañ manao!

Sarkar aaye! Marhaba!
Dildar aaye! Marhaba!
Ġham-ḳhvaar aaye! Mere laj-paal aaye! Marhaba!

Kya noor hai, ḳhushbū hai, ujāloñ ka samāñ hai
Sarkar ke parcham se saja sāra jahan hai
Chehre bhi saje, dil bhi saje, ghar bhi saje haiñ
Jo saj na saka ye to bata ghar vo kahaan hai

Gali gali saj gayi, shahar shahar saj gaya
Aaye nabi, pyare nabi, mera bhi ghar saj gaya
Marhaba ya mustafa! Marhaba ya mustafa!

Mustafa se pyar hai, dil se ye iqraar hai
Har koi milad-e-nabi karne ko taiyyar hai
Marhaba ya mustafa! Marhaba ya mustafa!

Duniya mein jahan bhi raheñ, aabaad raheñge
Jo aamina ke laal ka milad karenge

Milad karenge! Milad karenge!
Milad karenge! Milad karenge!

Ye dil nabi ke zikr se sarshaar bahut hai
Milad ki mahfil se mujhe pyar bahut hai
Vo ḳhatm-e-rusul, un se mohabbat hai zaruri
Bakhshish ke liye chahat-e-sarkar bahut hai

Gali gali saj gayi, shahar shahar saj gaya
Aaye nabi, pyare nabi, mera bhi ghar saj gaya
Marhaba ya mustafa! Marhaba ya mustafa!

Mustafa se pyar hai, dil se ye iqraar hai
Har koi milad-e-nabi karne ko taiyyar hai
Marhaba ya mustafa! Marhaba ya mustafa!

Duniya mein jahan bhi raheñ, aabaad raheñge
Jo aamina ke laal ka milad karenge

Milad karenge! Milad karenge!
Milad karenge! Milad karenge!

Ghar ghar nabi ka zikr hai, ghar ghar mein charaġān
Hum jashn-e-vilaadat pe dil-o-jaan se qurbaañ
Tum hind-o-paak mein nahin duniya mein dekh lo
Jazbe se manate haiñ ye sadiyoñ se musalmaañ

Gali gali saj gayi, shahar shahar saj gaya
Aaye nabi, pyare nabi, mera bhi ghar saj gaya
Marhaba ya mustafa! Marhaba ya mustafa!

Mustafa se pyar hai, dil se ye iqraar hai
Har koi milad-e-nabi karne ko taiyyar hai
Marhaba ya mustafa! Marhaba ya mustafa!

Duniya mein jahan bhi raheñ, aabaad raheñge
Jo aamina ke laal ka milad karenge

Milad karenge! Milad karenge!
Milad karenge! Milad karenge!

Jhaṇḍe lagao! Ghar ko sajao!
Kar ke charaġān ḳhushiyañ manao!

Sarkar aaye! Marhaba!
Dildar aaye! Marhaba!
Ġham-ḳhvaar aaye! Mere laj-paal aaye! Marhaba!

Gali gali saj gayi, shahar shahar saj gaya
Aaye nabi, pyare nabi, mera bhi ghar saj gaya
Marhaba ya mustafa! Marhaba ya mustafa!

Mustafa se pyar hai, dil se ye iqraar hai
Har koi milad-e-nabi karne ko taiyyar hai
Marhaba ya mustafa! Marhaba ya mustafa!

Duniya mein jahan bhi raheñ, aabaad raheñge
Jo aamina ke laal ka milad karenge

Milad karenge! Milad karenge!
Milad karenge! Milad karenge!

‘aashiq ne madni lightoñ se ghar jagmaga diya
Ye jashn zaruri hai sabhi ko bata diya
Munkir! Ye tera bughz hai milad-e-nabi se
Jo saara saal jalta tha vo bhi bujha diya

Gali gali saj gayi, shahar shahar saj gaya
Aaye nabi, pyare nabi, mera bhi ghar saj gaya
Duniya mein jahan bhi raheñ, aabaad raheñge
Jo aamina ke laal ka milad karenge

Milad karenge! Milad karenge!
Milad karenge! Milad karenge!

Ka’be ke badru’dduja! Tum pe karoḍoñ durood
Tayba ke shamsu’dduha! Tum pe karoḍoñ durood
Shaafe’-e-roz-e-jazaa! Tum pe karoḍoñ durood
Daafe’-e-jumla-balaa! Tum pe karoḍoñ durood

Aur koi ġhaib kya tum se nihaan ho bhala
Jab na khuda hi chhupa tum pe karoḍoñ durood
Kaam vo le lijiye, tum ko jo raazi kare
Theek ho naam-e-raza, tum pe karoḍoñ durood

Sarkar ke milad pe kyun a’tiraaz hai
Ye baat ḳhushi ki hai aur tu naraaz hai
Lagta hai teri daal mein kaala zarur hai
Milad manane pe hameñ dil se naaz hai

Duniya mein jahan bhi raheñ, aabaad raheñge
Jo aamina ke laal ka milad karenge

Milad karenge! Milad karenge!
Milad karenge! Milad karenge!

Sarkar aaye! Marhaba!
Dildar aaye! Marhaba!
Manthaar aaye! Mere laj-paal aaye!

Qur’aan ke bataye hue raste pe raheñge
Aṣ-haab-e-muhammad ke tariqe pe chaleñge
Mumkin hi nahin! Kam ho kabhi pyar ke jazbe
Milad-e-nabi pehle se bhi zyada karenge

Duniya mein jahan bhi raheñ, aabaad raheñge
Jo aamina ke laal ka milad karenge

Milad karenge! Milad karenge!
Milad karenge! Milad karenge!

Shaan-e-rasool-e-paak sunaate hi raheñge
Lab par durood-e-paak sajaate hi raheñge
Jo maante nahin hai, hameñ un se ġharaz kya
Hum log to milad manaate hi raheñge

Gali gali saj gayi, shahar shahar saj gaya
Aaye nabi, pyare nabi, mera bhi ghar saj gaya
Duniya mein jahan bhi raheñ, aabaad raheñge
Jo aamina ke laal ka milad karenge

Milad karenge! Milad karenge!
Milad karenge! Milad karenge!

Pur-noor hai zamaana subh-e-shab-e-vilaadat
Parda uṭha hai kis ka subh-e-shab-e-vilaadat
Aayi nai hukumat, sikka naya chalega
‘aalam ne rang badla subh-e-shab-e-vilaadat

Dil jagmaga rahe haiñ, qismat chamak uṭhi hai
Faila naya ujaala subh-e-shab-e-vilaadat

Ye bigde hue log sudhar kyuñ nahin jaate
‘ushshaaq samandar mein utar kyuñ nahin jaate
Gustaaḳhoñ ki karte haiñ yahan jo bhi himayat
Sarkar ke ġaddaar haiñ ye mar kyuñ nahin jaate

Duniya mein jahan bhi raheñ, aabaad raheñge
Jo aamina ke laal ka milad karenge

Milad karenge! Milad karenge!
Milad karenge! Milad karenge!

Sarkar aaye! Marhaba!
Dildar aaye! Marhaba!
Manthaar aaye! Mere laj-paal aaye!

Khud apne hi hāthoñ se yoon taqdeer jaga lo
Halaat sanvar jaayeñge, jhaṇḍoñ ko uṭha lo
Imaan hai aur ḳhair hai milad, ujagar!
Kyun baithe ho, sarkar ka milad mana lo