Kuch inayat kijiye, kuch meherbaani kijiye
Guftgoo kar ke zara si toh aasaani kijiye

Waise toh qissa hi poora keh diya nazron se, par…

Mukhtalif si baat kuch yoon bhi zubaani kijiye
Kuch inayat kijiye, kuch meherbaani kijiye
Guftgoo kar ke zara si toh aasaani kijiye
Yeh mohabbat ke bade makhsoos se mehmaan hain

Ishqiya mehfil sajaaiye, mezbaani kijiye
Kuch inayat kijiye, kuch meherbaani kijiye
Guftgoo kar ke zara si toh aasaani kijiye
Haan, sharaafat ki badi hai ehmiyat maana, magar…

Bas sharaarat ke liye kuch toh shaitaani kijiye
Kuch inayat kijiye, kuch meherbaani kijiye
Guftgoo kar ke zara si toh aasaani kijiye
Aalim-o-faazil ke jo rutbe mile, kaafi hain woh
Bahut kar li aqlmandi, ab naadaani kijiye

Ghaur farmaaiyega, kuch pesh-e-nazar hai aapke
Tavajjo chaahenge
Ghaur farmaaiyega, kuch pesh-e-nazar hai aapke
Halki si muskaan se misra laasaani kijiye
Kuch inayat kijiye, kuch meherbaani kijiye
Guftgoo kar ke zara si toh aasaani kijiye
Aap aaye hain toh yeh aalam munawwar ho gaye

Arz hai, Sartaaj ki rooh bhi nooraani kijiye