
Choose your script
Read the Song Lyrics
Kaise mujhe tum mil gayi?
Qismat pe aaye na yaqeen
Utar aayi jheel mein
Jaise chaand utarta hai kabhi
Haule haule, dheere se
Gunguni dhoop ki tarah se
Tarnnum mein tum chhoo ke mujhe guzri ho yoon
Dekhoon tumhein ya main sunoon?
Tum ho sukoon, tum ho junoon
Kyun pehle na aayi tum?
Kaise mujhe tum mil gayi?
Qismat pe aaye na yaqeen
Main toh yeh sochta tha ki
Aajkal upar waale ko fursat nahi
Phir bhi tumhein banake woh
Meri nazar mein chadh gaya
Rutbe mein woh aur badh gaya
Badle raaste, jharne aur nadi
Badli deep ki timtim
Chhede zindagi dhun koi nayi
Badli barkha ki rimjhim
Badlengi rituyein ada
Par main rahungi sada
Usi tarah teri baahon mein bahein daal ke
Har lamha, har pal
Zindagi sitar ho gayi
Rimjhim malhaar ho gayi
Mujhe aata nahi 1ismat pe apni yaqeen
Kaise mujhko mili tum?
कैसे मुझे तुम मिल गई?
क़िस्मत पे आए ना यक़ीं
उतर आई झील में
जैसे चाँद उतरता है कभी
हौले-हौले, धीरे से
गुनगुनी धूप की तरह से
तरन्नुम में तुम छू के मुझे गुज़री हो यूँ
देखूँ तुम्हें या मैं सुनूँ
तुम हो सुकूँ, तुम हो जुनूँ
क्यूँ पहले ना आई तुम?
कैसे मुझे तुम मिल गई?
क़िस्मत पे आए ना यक़ीं
मैं तो ये सोचता था कि
आजकल ऊपर वाले को फ़ुर्सत नहीं
फिर भी तुम्हें बना के वो
मेरी नज़र में चढ़ गया
रुतबे में वो और बढ़ गया
बदले रास्ते, झरने और नदी
बदली दीप की टिमटिम
छेड़े ज़िंदगी धुन कोई नई
बदली बरखा की रिमझिम
बदलेंगी ऋतुएँ अदा
पर मैं रहूँगी सदा
उसी तरह तेरी बाँहों में बाँहें डाल के
हर लम्हा, हर पल
ज़िंदगी सितार हो गई
रिमझिम मल्हार हो गई
मुझे आता नहीं क़िस्मत पे अपनी यक़ीं
कैसे मुझको मिली तुम?
