Karogi mohabbat toh chehre par udaasi chhaayegi
Jo chhaayegi udaasi, tumhein neend nahi aayegi
Jo neend nahi aayegi toh chehre par asar aayega
Jo chehre par asar aayega toh tu nazrein chhuraayega
Jo tu nazrein chhuraayega toh na jaane kab tak milne na aayega
Tu milne na aaye, aisi naubat hi kyun aaye?
Hum chaahte hi nahi mohabbat ho jaaye
Karogi mohabbat toh roz mulaqaat hogi
Karogi mohabbat toh kuchh yoon mohabbat hogi
Kabhi shaq hoga mujh par, kabhi shikayat hogi
Jinse vaasta nahi unse adaavat hogi
Sheher se nafrat, duniya se baghaawat hogi
Hum seh jaayenge, tum na seh paaogi
Kaise zamaane ke sitam uthaaogi?
Samjhayenge ghar waale, tum mujhse khafa ho jaaogi?
Main tanha reh jaaunga, tum bewafa ho jaaogi
Tum ho jaao bewafa, aisi naubat hi kyun aaye?
Hum chaahte hi nahi mohabbat ho jaaye
Karogi mohabbat toh roz mulaqaat hogi
Waqt zaaya hoga, fizool baat hogi
Shaam ko taane denge kuchh log
Ghar pahunchte-pahunchte raat hogi
Poochhenge ghar waale toh kya bataogi?
Jhooth bologi ya khaamosh ho jaaogi?
Sochkar din ki baaton ko muskuraoge raat-bhar
Neend nahi aayegi tumko, jaagoge raat-bhar
Chid-chidi ho jaayegi jab dost chhidaayenge
Mera naam lekar use log bulaayenge
Ek din in harkaton se tu ukta jaayegi
Humein patthar ki tarah thukra jaayegi
Tum thukrao humein, aisi naubat hi kyun aaye?
Hum chaahte hi nahi mohabbat ho jaaye
Karogi mohabbat toh woh raat bhi aayegi
Tere dar par kisi ki baaraat bhi aayegi
Chaaron taraf se jab tujhe shehnaaiyan gher lengi
Shor machaati hui tanhaaiyan gher lengi
Pyaar tujhe kisi ka sachcha na lagega
Mere baad tujhe kuchh bhi achchha na lagega
Phir bhi kahan khatam kahaani ki shuruaat karogi?
Milne na sahi, magar phone par baat karogi
Jaanta hoon, tum phir se wahi kamaal karogi
Humein pyaar mein phasaakar barbaad karogi
Tum humein apne liye istemaal karogi
Tum istemaal karo, aisi naubat hi kyun aaye?
Hum chaahte hi nahi mohabbat ho jaaye
Karogi mohabbat toh yeh ghar bhi chhodna hoga
Humaare saath tumhein yeh sheher bhi chhodna hoga
Toot jaayega jab ghar waalon se rishta
Maa ke haathon ke nivaalon se rishta
Anjaan sheher mein yeh bukhaar bhi mar jaayega
Bhookh lagegi toh pyaar bhi mar jaayega
Bulaayenge ghar waale toh apne ghar laut jaaogi
Humein thukra kar apne sheher laut jaaogi
Hum par aayega tujhe behkaane ka ilzaam
Ladki par nahi aata bhagaane ka ilzaam
Phas jaayenge hum zamaane ke chakkar mein
Jawaani nikal jaayegi thaane ke chakkar mein
Phir tu apne bayaan se palat jaayegi
Meri zindagi jail mein sad jaayegi
Umr guzre jail mein, aisi naubat hi kyun aaye?
Hum chaahte hi nahi mohabbat ho jaaye