Khankegi tere pairon me janjeer jab-jab
Khankegi tere pairon me janjeer jab-jab
Tujhe yaad aayega Rahgir tab-tab
Tere kal ko chubhenge aaj ke teer jab-jab
Tere kal ko chubhenge aaj ke teer jab-jab
Tujhe yaad aayega Rahgir tab-tab
Khankegi tere pairon me…
Aayegi gali se saarangi ki aawaaz to
Tu chal ke nahi jaayegi udhar, kheenchi jaayegi
Vahaan bachche naach rahe honge mast malang uske charon or
Honth kaanp jaayenge, mutthiyan beenchi jaayengi
Wo aage badh jaayega gaata
Kisi se maangega kuchh bhi nahin
Tum puchhoge, “Kuchh chahiye kya?”
Wo chahega kuchh bhi nahi
Ye waqt kisi ka saga hi nahi…
Ye waqt kisi ka saga hi nahi, chalta hai, chalta jaayega
Ye husn kisi ka ruka hi nahi…
Ye husn kisi ka ruka hi nahi, dhalta hai, dhalta jaayega
Oh, jis ped ne saawan thukraaya…
Jis ped ne saawan thukraaya, wo ped jalta jaayega
Sab jaan ke bhi kosoge taqdeer jab-jab
Sab jaan ke bhi kosoge taqdeer jab-jab
Tujhe yaad aayega raahgir tab-tab
Khankegi tere pairon me…
Ghar bhara hoga mahange samaan se, shishe daagi nahin honge
Are, bachche bhi tameezdaar honge, baagi nahin honge
Waqt pe khaana milega, waqt pe sab kaam honge
Saje-sanwre log honge, rang-birange jaam honge
Per ek raat neend khulegi, koi ek-do bajey
Tum uthogi, bina aahat ke khidki pe jaogi
Ekdum se lagega ki kuch kami si hai kahin
Tum zulfen khologi to wahan nahi girengi jahan tum chahogi
Oh, jab der raat ko tahelne ko…
Jab der raat ko tahelne ko dil tumhara chahega
“Oh, badi der ho gayi hai,” keh ke…
“Badi der ho gayi hai,” keh ke koi andar le jayega
Oh, phir door kahin koi chhat par
“Lag ja gale,” chalayega
Bina zakham hi dukhega shareer jab-jab
Bina zakham hi dukhega shareer jab-jab
Tujhe yaad aayega Rahgir tab-tab
Khankegi tere pairon me janjeer jab-jab
Khankegi tere pairon me janjeer jab-jab
Tujhe yaad aayega Rahgir tab-tab
Khankegi tere pairon me…
Main wo payal jisay usne pehna to tha
Phir utaar kar kaha ki koi aur dikhaao
Dukaandaar ne do-char baar kaha to tha
Ki madam ye cheez nahin milegi, bazaar ghoom aao