Fareha Nigarina
Tumne mujhko likha hai, “Mere khat jala dijiye
Mujhko fikr rehti hai, aap inhein ganwa dijiye
Aapka koi saathi dekh le toh kya hoga?
Dekhiye, main kehti hoon, yeh bahut bura hoga”
Main bhi kuch kahoon tumse?
Fareha Nigarina, ae ba-nazuki meena
Itr-bez nasreena
Rashk-e-sarb-e-seemeena
Main tumhare har khat ko lauh-e-dil samajhta hoon
Main tumhare har khat ko lauh-e-dil samajhta hoon
Lauh-e-dil jala doon kya?
Jo bhi satra hai inki, kehkashan hai rishton ki
Jo bhi satra hai inki, kehkashan hai rishton ki
Kehkashan luta doon kya?
Hai sawaad-e-beenai, inka jo bhi nuqta hai
Main usey ganwa doon kya?
Hai sawaad-e-beenai, inka jo bhi nuqta hai
Main usey ganwa doon kya?
Jo bhi harf hai inka, naksh-e-jaan hai, jaanana
Naksh-e-jaan mita doon kya?
Mujhko likh ke khat, jaanam, apne dhyan mein shayad
Khwaab-khwaab jazbon ke, khwaab-khwaab lamhon mein
Yoon hi be-khayalana jurm kar gayi ho tum
Aur khayal aane par ussey dar gayi ho tum
Jurm ke tasavvur mein ‘gar yeh khat likhe tumne
Phir toh meri rai mein jurm hi kiye tumne
Jurm kyun kiye jaayein? Khat hi kyun likhe jayein?