(Caps Ctrl)
Aah-haan, main baatein saari
Dil se suna doon jo tujhe, tu ro jayegi
Phir kabhi jo aa ke dekhe
Jaana, tu dil mein mere, tu kho jayegi
Aah-haan-haan, main baatein saari
Dil se suna doon jo tujhe, tu ro jayegi
Phir kabhi jo aa ke dekhe, jaana
Tu dil mein mere, tu kho jaayegi, tu kho jayegi
Main likhda reya si tere baare
Par tainu na koi fark peya (fark peya)
Main kaat’ta hoon kaise yeh raatein
Na kar sakoon tere se bayaan, mmm-hmm
Yeh dil rakha maine tere aage
Par tainu na koi qadar meri (qadar meri)
Main takda reya, par
Mili na koi khabar teri (haan, teri)
Tujhe yaad hai kya woh din
Jab tere liye tha bahaata main aansu?
Ab wahi din soch ke has leta
Jab bhi main hota udaas hoon
Ab hota niraash hoon soch ke yahi
Ke mila main kyun hoon
Jab itna bharosa tha beech mein
Phir bhi gila hai kyun?
The kabhi yeh vaade tujhse
Milega tujhko sabhi, tu jo chahegi (chahegi)
Bas yoon hi ab gaanon mein hi
Mulaqatein na ab asal mein ho payengi
Aah-haan-haan, main baatein saari
Dil se suna doon jo tujhe, tu ro jayegi
Phir kabhi jo aa ke dekhe, jaana
Tu dil mein mere, tu kho jaayegi, tu kho jayegi
Saalon ki yaari tu pal-bhar mein bhooli
Jaise the hum kabhi saath nahi
Aankhon ke aage se ojhal hui aise
Jaise tu bas ek khwaab thi
Hasti thi khoob jab saath thi tu mere
Tab jaan meri, dil patthar to na thi
Karti thi call, aur
Ghanton tak apni kahaani sunaati tu
Sab yaad mujhe woh bachpana tera
Kaise main, jaana, bas bana tera
Shuru tere saath hoti thi raat meri
Saath tere khatam hota tha sawera
Mash’hoor main hone laga jo
Tab milna chahegi (tab milna chahegi)
Tooti toh pehle jaisi
Ab na ho payegi (na ho payegi)
Aah-haan-haan, main baatein saari
Dil se suna doon jo tujhe, tu ro jayegi
Phir kabhi jo aa ke dekhe
Jaana, tu dil mein mere, tu kho jayegi
Aah-haan-haan, main baatein saari
Dil se suna doon jo tujhe, tu ro jayegi
Phir kabhi jo aa ke dekhe, jaana
Tu dil mein mere, tu kho jaayegi, tu kho jayegi