Chomu ke chaurahe par ek boodha baitha nanga
Aate-jaaton ko poochta ki kyon bhai changa?
Jo ruk jaata use bolta ki sun, bhai setha
Arey, ja Agra, munh mein le-le Agre ka petha
Ya Jaipur ja ke rangwa le pichhwada gulabi
Mujhe laga ke koyi pagal hai ya phir sharabi
Main vela tha, ja baith gaya uske baaju mein
Poocha, “Babaji, kyun laayi hai tune yeh chillam-chilli?”
Woh bola…
Jahilon ka koyi sheher nahi, kya Jaipur, kya Dilli
Arey, jahilon ka koyi sheher nahi, kya Jaipur, kya Dilli
Arey, kya Jaipur, kya Dilli, bhai re, kya Jaipur, kya Dilli

Arey, kya Jaipur, kya Dilli, kya Patna, Ludhiyana, Chandigarh
Ambarsar, Bambai, Shimla, Manali, Kullu, Chamba, Sikar, Jhunjhunu
Kota, Churu, Kashi, Kochi, Goa, Ranchi, Calcutta, Indore, Chennai
Guwahati, Aizawl, Madurai, Sirsa, Surat aur Tiruchippalli

Arey, Jahilon ka koyi sheher nahi, kya Jaipur, kya Dilli
Woh bola, mere gaanv mein ek shaam ek banda ghar pe lauta thaka-haara
Uski beevi gayi thi padosiyon se maangne bhains ka chaara
Par us bande ko ghar aate hi chai chahiye hoti thi
Aur nahi kisi ki iss baare mein rai chahiye hoti thi
Woh lauti ghar toh dhar liya usko, diye laat aur ghoose
Arey, moot nikal gaya salwar mein, khoon nikal gaya munh se

Phir usi haal mein pakad bhagona gayi kitchen ke andar
Ek aag wahan chulhe mein thi, ek uske mann ke andar

Aur dukh ki baat toh yeh hai aise qisse aam hain har kshetra mein
Plain ho chaahe hilly
Dukh ki baat toh yeh hai aise qisse aam hain har kshetra mein
Plain ho chaahe hilly
Kyonki
Jahilon ka koyi sheher nahi, kya Jaipur, kya Dilli
Arey, jahilon ka koyi sheher nahi, kya Jaipur, kya Dilli
Arey, kya Jaipur, kya Dilli, bhai re, kya Jaipur, kya Dilli
Jahilon ka koyi sheher nahi, kya Jaipur, kya Dilli
Arey, kya Jaipur, kya Dilli, kya Patna, Ludhiyana, Chandigarh
Ambarsar, Bambai, Shimla, Manali, Kullu, Chamba, Sikar, Jhunjhunu
Kota, Churu, Kashi, Kochi, Goa, Ranchi, Calcutta, Indore, Chennai
Guwahati, Aizawl, Madurai, Sirsa, Surat aur Tiruchippalli
Jahilon ka koyi sheher nahi, kya Jaipur, kya Dilli
Arey, Jahilon ka koyi sheher nahi, kya Jaipur, kya Dilli
Mujhe laga ke baba hai kuch jyada hi badbola
Par usne meri baat kaat di, jaise hi munh khola
Bola, Khandela ke bazar ek shaam hua yeh qissa
Ke ek thele se ek bhooke ne utha liya ek samosa
Phir wahan khade the
Sab ne dhoya de moochhon pe taav, woh Darasingh ho gaye
Aur ghar ja ke
Apni-apni beeviyon ki baahon mein so gaye
Agle din usi chauk par, usi jagah par
Ek sisakte majdoor ke ek thekedar bhai kha gaya paise
Aur wahin khade the chuppi saadhe moochhon waale bhainse
Arey, seena dhans gaya, moonchein neechi, ho gayi knicker dheeli

Isiliye toh kisi shaane ne kaha hai
Ke jahilon ka koyi sheher nahi, kya Jaipur, kya Dilli