aankhein meri har jagah lyrics

Lyrics & meaning

Yeh Aaina

Shreya Ghoshal

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanware?
Itna lagi sochne kyun main aajkal tere baare?

Tu jheel khamoshiyon ki
Lafzon ki main toh leher hoon
Ehsaas ki tu hai duniya
Chhota sa main ek sheher hoon

Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanware?

Khud se hai agar tu bekhabar, bekhabar
Rakh loon main tera khayal kya?
Chupke-chupke tu nazar mein utar
Sapnon mein loon main sambhaal kya?
Sapnon mein loon main sambhaal kya?

Main daud ke paas aaun, tu neend mein jo pukaare
Main ret hoon, tu hai dariya, baithi hoon tere kinaare

Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanware?

Tanha hai agar tera safar, humsafar
Tanhai ka main jawaab hoon
Hoga mera bhi asar, tu agar padh le
Main teri kitaab hoon
Padh le, main teri kitaab hoon

Seene pe mujhko saja ke jo raat saari guzaare
Toh main sawere se keh doon, “Mere sheher tu na aa re”

Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanware?