Do-chaar hi yaar hain mere, apno se door yahan pe
Ghar waale saath nahi hain, na hai mera pyar yahan pe
Yoon toh hai hota nahi kuch bhi sahi, jo bhi main karoon
Phir bhi hai mann ye mera maane nahi, kyun hi main daroon?
Khush rehne ki hai beemari, jalti hai yeh duniya saari
Kal ki chinta na mujhe hai, aa gayi hai meri baari
Sapne dekhe jo kabhi the, poore kar loon main woh saari

Maine maar dekha, maine thoda pyaar dekha
Maine haar dekha, toota woh guitar dekha
Beeti thi raatein meri Dilli ki sadkon pe
Pocket mein sikka le sapne hazaar dekha
Na piya daaru, kabhi liya nahi vape, par
Deta main heart apne hateron ke hate par
Label bhi rota mere gaano ke, haan, rate par
Khaali main hoon baitha, phir bhi jaata nahi date par
Gaana bhi toh gaana hai na, legacy banana hai na
Time thoda kam hai, Netflix pe bhi aana hai na
Jo bhi hai bola, mujhe karke dikhana hai na
Aane wale saalon maan ko Mumbai bhi toh laana hai na
Jaana hai na, haan, mujhe kal world trip pe
Plane mein raat, haan, meri suabh hogi ship pe
Saans ke jaise loon main shares har dip pe
Hoga zamana meri ungli ke tip pe
Khush rehne ki hai beemari, jalti hai yeh duniya saari
Kal ki chinta na mujhe hai, aa gayi hai meri baari
Sapne dekhe jo kabhi the, poore kar loon main woh saari
Kal ki chinta na mujhe hai, aa gayi hai meri baari
Meri baari, meri baari aa gayi hai meri baari

Yeh khumaari, hai khumaari, aa gayi hai meri baari
Meri baari, meri baari aa gayi hai meri baari
Kaise main bhoolun abhi maa ki woh baatein sabhi?
Chhota sa ghar woh mera, apne mere, galiyan meri
Toota dil bhi tha kabhi, yaad aaye college abhi
Dilli ki sardiyon si raatein nahi hoti kahin
Khush rehne ki hai beemari, jalti hai yeh duniya saari
Kal ki chinta na mujhe hai, aa gayi hai meri baari
Khush rehne ki hai beemari, jalti hai yeh duniya saari
Kal ki chinta na mujhe hai, aa gayi hai meri baari
(Rehne ki hai beemari), jalti hai yeh duniya saari
(Chinta na mujhe hai), aa gayi hai meri baari

Meri baari