mummy papa aapko shukriya lyrics

Lyrics & meaning

Mummy Papa Aapko Shukriya

GenrePop

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Mummy, tu duniya meri, papa mere jahaan
Mummy, tu duniya meri, papa mere jahaan
Aap dono se pyaara koi jag mein kahaan

Mera insaaf karna, ae Khuda, maaf karna
Tumse pehle ibaadat mein inka naam loon

Dil ki aawaaz de tum dono ko shukriya
Dil ki aawaaz de tum dono ko shukriya
Mere alfaaz dein dono ko shukriya
Dil ki aawaaz de tum dono ko shukriya

Jo kuch hoon main iss jeevan mein
Aap dono ka yeh upkaar hai
Ho, aur kahoon kya, yeh jeevan bhi
Aap hi ka ek upkaar hai

Dil ko samjha na paaun, kaise rin yeh chukaun?
Mujhko khushiyan de saari, gham apne naam kiya

Dil ki aawaaz de tum dono ko shukriya
Dil ki aawaaz de dono ko shukriya

Mummy, tu duniya meri, papa mere jahaan
Aap dono se pyaara koi jag mein kahaan
Mera insaaf karna, ae Khuda, maaf karna
Tumse pehle ibaadat mein inka naam loon

Dil ki aawaaz de tum dono ko shukriya
Dil ki aawaaz de tum dono ko shukriya
Mere alfaaz dein dono ko shukriya
Dil ki aawaaz de tum dono ko shukriya
Tum dono ko shukriya, tum dono ko shukriya