nusrat lyrics naalayak

Lyrics & meaning

Nusrat

GenreRock

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Waadon ke fool khile, na woh mile humein
Rukhsat ho jaane ko mann hai, par raahein band hain woh
Hoon main khada roshni mein, asl hai woh andhera hi

Main hi jal raha hoon yaadon mein
Ulfaton ke waadon mein kyun?
Unko kya fikar jab na zikar
Woh udd rahe hain befikar kyun?

Iraadon se milte hain khwaabon ke dar
Ishaaron par kyun rukoon?
Nusrat yeh tumse jo maangi hai
Furkat ke hain nishaan

Iraadon se milte hain khwaabon ke dar
Ishaaron par kyun rukoon?
Nusrat yeh tumse jo maangi hai
Furkat ke hain nishaan

Hoon main khada bheed mein kahin
Asl hain woh parchhaiyan teri
Hoon main khada bheed mein kahin
Asl hain woh parchhaiyan teri

Whoa-oh-oh-oh
Whoa-oh-oh-oh
Whoa-oh-oh-oh
Whoa-oh-oh-oh

Main hi jal raha hoon yaadon mein
Ulfaton ke waadon mein kyun?
Unko kya fikar jab na zikar
Woh udd rahe hain befikar kyun?