Choose your script
Read the Song Lyrics
Rafta-rafta woh meri hasti ka samaan ho gaye

Pehle jaan, phir jaan-e-jaan, phir jaan-e-jaana ho gaye

Din-ba-din badhti gayi is husn ki raanaiyaan

Pehle gul, phir gul-badan, phir gul-ba-damaan
Rafta-rafta woh meri hasti ka samaan ho gaye
Aap toh nazdeek se nazdeektar aate gaye
Aap toh nazdeek se nazdeektar aate gaye
Pehle dil, phir dilruba, phir dil ke mehmaan ho gaye
Rafta-rafta woh meri hasti ka samaan ho gaye
Pyaar jab had se badha, saare takalluf mit gaye

Aap se phir tum hue, phir tu ka unvaan ho gaye
Rafta-rafta woh meri hasti ka samaan ho gaye
Pehle jaan, phir jaan-e-jaan, phir jaan-e-jaana ho gaye
Rafta-rafta woh meri hasti ka samaan ho gaye
Hasti ka samaan ho gaye, hasti ka samaan ho gaye
रफ़्ता-रफ़्ता वो मेरी हस्ती का सामाँ हो गए

पहले जाँ, फिर जान-ए-जाँ, फिर जान-ए-जानाँ हो गए

दिन-ब-दिन बढ़ती गईं इस हुस्न की रानाइयाँ

पहले गुल, फिर गुल-बदन, फिर गुल-ब-दामाँ
रफ़्ता-रफ़्ता वो मेरी हस्ती का सामाँ हो गए
आप तो नज़दीक से नज़दीकतर आते गए
आप तो नज़दीक से नज़दीकतर आते गए
पहले दिल, फिर दिलरुबा, फिर दिल के मेहमाँ हो गए
रफ़्ता-रफ़्ता वो मेरी हस्ती का सामाँ हो गए
प्यार जब हद से बढ़ा, सारे तकल्लुफ़ मिट गए

आप से फिर तुम हुए, फिर तू का उनवाँ हो गए
रफ़्ता-रफ़्ता वो मेरी हस्ती का सामाँ हो गए
पहले जाँ, फिर जान-ए-जाँ, फिर जान-ए-जानाँ हो गए
रफ़्ता-रफ़्ता वो मेरी हस्ती का सामाँ हो गए
हस्ती का सामाँ हो गए, हस्ती का सामाँ हो गए