Mere Ram aayenge, Maa Sita sang aayenge
Bhrata Lakshman aur bhakt Hanuman aayenge
Mere Ram aayenge, Maa Sita sang aayenge
Bhrata Lakshman aur bhakt Hanuman aayenge
Ram aayenge-aayenge, Ram aayenge
Ram aayenge-aayenge, Ram aayenge
Meri jhopdi ke bhagya aaj khul jaayenge, Ram aayenge
Mere pujya chaaron dhaam jab dvar aayenge, hum tar jaayenge
Ram aayenge toh paar laga jaayenge, Ram aayenge
Ram aayenge-aayenge, Ram aayenge
Ram aayenge-aayenge, Ram aayenge
Ram aayenge toh utsav manaayenge
Ram rajya ka dhvaj leheraayenge
Ram aayenge toh utsav manaayenge
Ram rajya ka dhvaj leheraayenge
Ho, Jai-Jai Shri Ram se vishwa gunjega, jab Ram aayenge
Ho, Jai-Jai Shri Ram se vishwa gunjega, jab Ram aayenge
Ram aayenge toh paar laga jaayenge, Ram aayenge
Ram aayenge toh palna jhulaungi
Apne aansuon se charan dhulaungi
Ram aayenge toh palna jhulaungi
Apne aansuon se charan dhulaungi
Bhakti bhaav se bhajan sunaaungi
Dhanya Swasti ka janam bhi ho jaayega, jab Ram aayenge
Ram aayenge toh paar laga jaayenge, Ram aayenge
Ho, kaat vikat vanvaas ki bela
Badhe Ayodhya ki ore kadam
Ghar-ghar deep jale swagat mein
Dekho aaye Siya, Ram, Lakhan
Dekho aaye Siya, Ram, Lakhan
Ek nazar kirpa ki karna
Khade tumhari raah mein
Hum hi Shabri, hum hi Kevat
Tum darshan ki chaah mein
Bas tum darshan ki chaah mein
Ram aayenge-aayenge, Ram aayenge
Ram aayenge toh angana sajaungi
Deep jala ke Diwali main manaungi
Ram aayenge toh angana sajaungi
Deep jala ke Diwali main manaungi
Sita-Lakshman ke sang Hanuman aayenge, Ram aayenge
Pyari Radhe sang, pyare-pyare Shyam aayenge, Ram aayenge
Ram aayenge toh paar laga jaayenge, Ram aayenge
Ram aayenge-aayenge, Ram aayenge
Ram aayenge-aayenge, Ram aayenge
Mere Ram aayenge, Maa Sita sang aayenge
Bhrata Lakshman aur bhakt Hanuman aayenge