Zakhm dil pe hai, dawa karo
Aao, mil ke rasm-e-mohabbat ada karo
Kuch na kar sako mere liye
Toh bas khwaabon mein hi mujhse mil liya karo
Aa milo kahin mujhse
Ke ummidein kuch baaqi hain meri tumse
Na jaane hasrat hi rahi ho tum meri
Ke shayad yeh din aakhiri ho
Hum khwahish mein mar jaayein
Aa milo kahin mujhse
Ke ummidein kuch baaqi hain meri tumse
Le chalo wahan mujhe
Main dekhta hoon aasmaan mein bhi ab tujhe
Dekha ek roz taara toot ke gaya
Maangi bhi duaayein, par haan tu nahi mila
Woh aaya hi nahi jo ek dafa gaya
Woh door itna ho gaya, main dekh na saka
Hai dhoondhta wajah ab dil yeh bewajah
Hai toota is tarah se dil ke phir nahi laga
Toh aa milo kahin, oh, mere humnasheen
Main ab bhi hoon akela, yeh tu samjha kyun nahi?
Wajood dillagi ki aarzoo nahi
Mohabbat toh wahi hai jo ke milti hi nahi
Mohabbaton mein jhoom loon, main kya karun bata
Main mubtila gham mein ya main gham ki hoon dawa?
Main baddua hoon, ya dua hoon, ya main hoon saza?
Ab tu bata ke main hoon ya phir tu hai laapata, tu bata
Laapata ho gaye humare liye tum
Itna chaaha ke tum bewafa ho gaye
Jaana, bhoolna tha tumhein, Khuda ki qasam
Haath jab bhi uthe, tum dua ho gaye
Honthon pe dua hai, waqt tham nahi raha
Tu na mil saka, tu bas nazam mein hi raha
Duniya ki mohabbaton ne sab badal diya
Tera gham ajeeb hai, woh wahin ka wahin raha
Bhoolna main chaah raha tha tujhko is tarah
Na teri jagah koi ho, na ho tu wahan
Ab teri talash mein pata chala mujhe
Tumse hi shuru hai raat, tumse hi subah
Tu mil gayi toh ja milegi zindagi mujhe
Jo tu nahi toh chahiye kuch nahi mujhe
Khwaab, tu ehsaas, tu hi raat, tu subah
Kaat dunga zindagi main dekh ke tujhe
Dekh le mujhe
Yeh kat rahi hai zindagi ab dekh ke tujhe
Toot hi gaya hoon, tu samet le mujhe
Samet le mujhe, kahin bikhar na jaaun main
Toh aao na
Mere aansu ko pochho aur phir se rulaao mujhe
Mera sab kuch hai tere liye
Toh aao na
Dil ki baatein karo aur phir se sataao mujhe
Mera sab kuch hai tere liye
Mil jaaun main tumhein agar raaston mein kahin
Tum rasman hi pooch lena mujhse haal mera
Main muskurakar, gham chhupa kar hi jawaab doonga
Main yahi karta aaya hoon, ye hai kamaal mera