Talk to me, keh de woh dil ki baatein
Jo tu zamaane se toh keh na saki
Sunoon baith ke ab main teri
Talk to me, bata dard-e-dil ke sabab
Yeh parde hata de tu ab, dha de ek aur ghazab
Dil mein toofan utha aur phir tham gaya
Seena cheerta hai seene mein jo dam gaya
Ek hi gali se nikle the main aur woh
Uske ghar khushi gayi, mere ghar gham gaya
Took a xan, mujhse soya nahi jaaye
I would cry you a river, lekin roya nahi jaaye
Maine ird-gird yeh deewarein khud hi banayi
Taaki mujhe at my lowest koyi dekh hi na paaye
Ab mujhse bola nahi jaaye
But you can’t take me down agar maula na chaahe
Main 16 se high, na koyi sulah-safai
Duniya toh jalti hai, duniya ka kya hai
Zindagi sabaq bani, roz tu kuch seekhti hai
Tu uska guroor jisne tujhe taqhleeq di hai
Main seekhta hoon galtiyon se, bhaagta nahi
Main so gaya hoon tujhmein, ab main jaagta nahi
Ab tera-mera pehle jaisa raabta nahi
Woh raakh ban gaya ke jo ke aag tha kabhi
Bayabaan ban gaya jo baagh tha kabhi
Besaakhta khade hain jaise jaan se bhi gaye
Tu roshni thi meri, hum toh chaand se bhi gaye
Hum kaun hain, hum kya hain, hum jaante hi nahi
Yeh faisle ek-tarfa hum maante hi nahi
Jo dooriyan hain darmiyan woh faaslon se nahi
Talk to me, walk with me
Do qadam, that’s all we need
You’re safe with me
Main tere liye de doon jaan apni
Meri nazar se qeemat ko tu kabhi pehchan apni
And just…
Talk to me, keh de woh dil ki baatein
Jo tu zamaane se toh keh na saki
Sunoon baith ke ab main teri
Talk to me, bata dard-e-dil ke sabab
Yeh parde hata de tu ab, dha de ek aur ghazab
Baadalon pe likh denge hum naam tera
Nahi jaam pehla, apne kaam se yeh naam faila
Aashiqi ek wehem, liya ghoont toh nuqsaan tera
Naadaniyon mein bhooli thi woh naam mera
Log galti ko sharab kehte hain
Haqeeqat ko khwaab kehte hain
Dino ko bhi raat kehte hain
Mere zikr ko bhi ab woh gunaah kehte hain
Roothe nahi, tum badal hi gaye
Toote kayi aur sanwar bhi gaye
Sambhle nahi, tum bikharte rahe
Zakhmon ka kya woh toh bharte rahe
Aaja, kabhi baat toh kar
Haste hum kyun ab in faaslon par?
Aa na, kabhi saath toh chal
Kaun galat, kaun sahi, aa hisaab toh kar
Beshak galti se hi, kabhi yaad toh kar
Mera glass toh bhar, thoda barbaad toh kar
Log mere peeche pade haath dhokar
Mere hunar ka lihaaz toh kar
Tell me what you want from me
Aakhir kuch bata toh sahi
She don’t wanna talk to me
Yeh sab tera shauq toh nahi?
Sazayein phir yeh baant lete
Khaamiyan toh khoobiyon se jaanch lete
Kaise todein na deewarein yeh?
Tera hi khayal jab bhi saans lete
So just…
Talk to me, keh de woh dil ki baatein
Jo tu zamaane se toh keh na saki
Sunoon baith ke ab main teri
Talk to me, bata dard-e-dil ke sabab
Yeh parde hata de tu ab, dha de ek aur ghazab