Tum Bhi Karke Unka Charcha Lyrics

Lyrics & meaning

Tum Bhi Karke Unka Charcha

Owais Raza Qadri

FromJab Gumbad e Khazra ReleasedJanuary 6, 2025

About this song

Tum Bhi Karke Unka Charcha Lyrics

Tum Bhi Karke Unka Charcha is a captivating Urdu Worldwide masterpiece, brought to life by the artistic prowess of Owais Raza Qadri. The lyrics of the song are penned by Muhammad Owais Qaderi. Tum Bhi Karke Unka Charcha was released as a part of the album Jab Gumbad e Khazra on January 6, 2025. “Tum Bhi Karke Unka Charcha Lyrics” has stayed with many, making it a song people naturally come back to again and again. Below, you’ll find the lyrics for Owais Raza Qadri’s “Tum Bhi Karke Unka Charcha”, offering a glimpse into the profound artistry behind the song.

Listen to the complete track on Amazon Music

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!
Pukaro, Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!

Tum bhi kar ke un ka charcha
Apne dil chamkao
Oonche mein ooncha Nabi ka jhanda
A‘la se A‘la Nabi ka jhanda
‘Azmat wala Nabi ka jhanda
Ghar ghar mein lahrao

Pukaro, Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!
Pukaro, Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!

Ya Rasoolallah ke na‘re se hum ko pyar hai
Hum ne ye na‘ra lagaya, apna beda paar hai

Sarkar ki aamad! Marhaba!
Dildar ki aamad! Marhaba!
Sohne ki aamad! Marhaba!
Makki ki aamad! Marhaba!
Madni ki aamad! Marhaba!
Pyare ki aamad! Marhaba!
Huzoor ki aamad! Marhaba!
Achhe ki aamad! Marhaba!
Sachche ki aamad! Marhaba!
Huzoor ki aamad! Marhaba!
Pur-noor ki aamad! Marhaba!
Aaqa ki aamad! Marhaba!
Data ki aamad! Marhaba!
Sab mil kar bolo! Marhaba!
Sab jhoom ke bolo! Marhaba!

Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!
Pukaro, Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!

Khuld mein hoga hamara daakhila is shaan se
Ya Rasoolallah ka na‘ra lagate jaaenge

Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!
Pukaro, Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!

Rabbi hab li ummati kehte hue paida hue
Haq ne farmaaya ke bakhsha, assalaatu wassalaam

Sarkar ki aamad! Marhaba!
Dildar ki aamad! Marhaba!
Manthar ki aamad! Marhaba!
Sohne ki aamad! Marhaba!
Makki ki aamad! Marhaba!
Madni ki aamad! Marhaba!
Pyare ki aamad! Marhaba!
Huzoor ki aamad! Marhaba!
Achhe ki aamad! Marhaba!
Sachche ki aamad! Marhaba!
Huzoor ki aamad! Marhaba!
Pur-noor ki aamad! Marhaba!
Aaqa ki aamad! Marhaba!
Data ki aamad! Marhaba!
Sab mil kar bolo! Marhaba!
Sab jhoom ke bolo! Marhaba!

Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!
Pukaro, Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!

Chaand sa chamkate chehra, noor barsaate hue
Aa gaye Badru’dduja, ahlan-wa-sahlan marhaba

Aamina ke ghar mein Aaqa ki vilaadat ho gayi
Marhaba sad marhaba, ahlan-wa-sahlan marhaba

Bait-e-Aqsa, baam-e-Ka‘ba, bar-makaan-e-Aamina
Nasb parcham ho gaya, ahlan-wa-sahlan marhaba

Pur-noor hai zamaana subh-e-shab-e-vilaadat
Parda utha hai kis ka subh-e-shab-e-vilaadat

Jalwa hai Haq ka jalwa subh-e-shab-e-vilaadat
Saaya Khuda ka saaya subh-e-shab-e-vilaadat

Fasl-e-bahaar aayi, shakl-e-nigaar aayi
Gulzaar hai zamaana subh-e-shab-e-vilaadat

Phooloñ se bagh mehnke, shaakhoñ pe murgh chahke
‘Ahd-e-bahaar aaya subh-e-shab-e-vilaadat

Dil jagmaga rahe haiñ, qismat chamak uthi hai
Faila naya ujaala subh-e-shab-e-vilaadat

Aayi nai hukumat, sikka naya chalega
‘Aalam ne rang badla subh-e-shab-e-vilaadat

Rooh-ul-amin ne gaada Ka‘be ki chhat pe jhanda
Ta-‘arsh uda pharera subh-e-shab-e-vilaadat

Padhte haiñ ‘arsh wale, sunte haiñ farsh wale
Sultan-e-nau ka khutba subh-e-shab-e-vilaadat

Din phir gaye hamare, sote naseeb jaage
Khursheed hi vo chamka subh-e-shab-e-vilaadat

Pyare Rabi‘-ul-Awwal! Teri jhalak ke sadqe
Chamka diya naseeba subh-e-shab-e-vilaadat

Nausha banao un ko, doolha banao un ko
Hai ‘arsh tak ye shohra subh-e-shab-e-vilaadat

Shaadi rachi hui hai, bajte haiñ shadiyane
Doolha bana vo doolha subh-e-shab-e-vilaadat

‘Arsh-e-‘azim jhoome, Ka‘ba zameen choome
Aata hai ‘arsh wala subh-e-shab-e-vilaadat

Aamad ka shor sun kar, ghar aaye haiñ bhikari
Ghere khade haiñ rasta subh-e-shab-e-vilaadat

Aao faqiro! Aao, munh maangi aas paao
Baab-e-Karim hai waa subh-e-shab-e-vilaadat

Sookhi zabaano! Aao, ai jalti jaano! Aao
Lahra raha hai dariya subh-e-shab-e-vilaadat

Teri chamak damak se ‘aalam chamak raha hai
Mere bhi bakht chamka subh-e-shab-e-vilaadat

Baanta hai do-jahaañ mein tu ne ziya ka baara
De de Hasan ka hissa subh-e-shab-e-vilaadat

Marhaba! Marhaba! Marhaba ya Mustafa!
Marhaba! Marhaba! Marhaba ya Mustafa!

‘Eid-e-Miladun-Nabi hai, dil bada masroor hai
Har taraf hai shaadmaani, ranj-o-gham kafoor hai

Marhaba! Marhaba! Marhaba ya Mustafa!
Marhaba! Marhaba! Marhaba ya Mustafa!

Is taraf jo noor hai to us taraf bhi noor hai
Zarra zarra sab jahan ka noor se ma‘moor hai

Marhaba! Marhaba! Marhaba ya Mustafa!
Marhaba! Marhaba! Marhaba ya Mustafa!

Gham ke baadal chhat gaye aur gham ke maare jhoom uthe
Aa gaya khushiyañ liye maah-e-Rabi‘un-noor hai

Marhaba! Marhaba! Marhaba ya Mustafa!
Marhaba! Marhaba! Marhaba ya Mustafa!

Aamina! Tujh ko mubarak Shah ka Milad ho
Tera aangan noor, tera ghar ka ghar sab noor hai

Marhaba! Marhaba! Marhaba ya Mustafa!
Marhaba! Marhaba! Marhaba ya Mustafa!

Jashn-e-Miladun-Nabi hai, kyuñ na jhoome aaj hum
Muskuraati haiñ bahareñ, sab faza pur-noor hai

Marhaba! Marhaba! Marhaba ya Mustafa!
Marhaba! Marhaba! Marhaba ya Mustafa!

Sarkar ki aamad! Marhaba!
Dildar ki aamad! Marhaba!
Sohne ki aamad! Marhaba!
Makki ki aamad! Marhaba!
Madni ki aamad! Marhaba!
Pyare ki aamad! Marhaba!
Huzoor ki aamad! Marhaba!
Achhe ki aamad! Marhaba!
Sachche ki aamad! Marhaba!
Huzoor ki aamad! Marhaba!
Pur-noor ki aamad! Marhaba!
Aaqa ki aamad! Marhaba!
Data ki aamad! Marhaba!
Sab mil kar bolo! Marhaba!
Sab jhoom ke bolo! Marhaba!

Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!
Pukaro, Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!

Subh Tayba mein hui, batta hai baara noor ka
Sadqa lene noor ka, aaya hai taara noor ka

Main gada tu baadshah, bhar de piyala noor ka
Noor din doona tera, de daal sadqa noor ka

Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!
Pukaro, Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!

Teri nasl-e-paak mein hai bachcha bachcha noor ka
Tu hai ‘ain-e-noor, tera sab gharana noor ka

Naariyoñ ka daur tha, dil jal raha tha noor ka
Tum ko dekha ho gaya thanda kaleja noor ka

Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!
Pukaro, Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!

Taaj wale! Dekh kar tera ‘amaama noor ka
Sar jhukate haiñ Ilahi bol-bala noor ka

Ai Raza! Ye Ahmad-e-Noori ka faiz-e-noor hai
Ho gayi meri ghazal badh kar qaseeda noor ka

Sarkar ki aamad! Marhaba!
Dildar ki aamad! Marhaba!
Sohne ki aamad! Marhaba!
Makki ki aamad! Marhaba!
Madni ki aamad! Marhaba!
Pyare ki aamad! Marhaba!
Huzoor ki aamad! Marhaba!
Achhe ki aamad! Marhaba!
Sachche ki aamad! Marhaba!
Huzoor ki aamad! Marhaba!
Pur-noor ki aamad! Marhaba!
Aaqa ki aamad! Marhaba!
Data ki aamad! Marhaba!
Sab mil kar bolo! Marhaba!
Sab jhoom ke bolo! Marhaba!

Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!
Pukaro, Ya Rasoolallah! Ya Habiballah!

Ya Habib-e-Kibriya! Ahlan-wa-sahlan marhaba
Mustafa-o-Mujtaba! Ahlan-wa-sahlan marhaba

Peshwa-e-Ambiya! Ahlan-wa-sahlan marhaba
Mursaliñ ke muqtada! Ahlan-wa-sahlan marhaba

Sarkar ki aamad! Marhaba!
Dildar ki aamad! Marhaba!
Sohne ki aamad! Marhaba!
Makki ki aamad! Marhaba!
Madni ki aamad! Marhaba!
Pyare ki aamad! Marhaba!
Huzoor ki aamad! Marhaba!
Achhe ki aamad! Marhaba!
Sachche ki aamad! Marhaba!
Huzoor ki aamad! Marhaba!
Pur-noor ki aamad! Marhaba!
Aaqa ki aamad! Marhaba!
Data ki aamad! Marhaba!
Sab mil kar bolo! Marhaba!
Sab jhoom ke bolo! Marhaba!