Tumse Kiran Dhoop Ki Lyrics

Lyrics & meaning

Tum Se

Raghav ChaitanyaVarun Jain

ReleasedFebruary 2, 2024 GenreBollywood

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Alag tujhmein asar kuch hai
Ke dikhta nahi magar kuch hai
Alag tujhmein asar kuch hai
Ke dikhta nahi magar kuch hai

Fida hoon main toh ek nazar
Bas ek nazar, bas ek nazar tak ke
Lage bhi toh yeh aur kidhar
Ab aur kidhar, dil sang tere lag ke

Sahi woh bhi lage hai mujhko
Ghalat tujhmein agar kuch hai
Alag tujhmein asar kuch hai

Tumse kiran dhoop ki
Tumse siyaah raat hai
Tum bin main bin baat ka
Tum ho tabhi kuch baat hai

Tumse kiran dhoop ki
Tumse siyaah raat hai
Tum bin main bin baat ka
Tum ho tabhi kuch baat hai

Teri ye sohbath
Hui mujhe naseeb hai jab se
Thoda toh behtar, khuda qasam
Hua hoon main mujhse

Hai tu hi tu tasavvur mein
Hai tu hi tu tasavvur mein
Kahan apni khabar kuch hai
Alag tujhmein asar kuch hai, ho

Tumse kiran dhoop ki
Tumse siyaah raat hai
Tum bin main bin baat ka
Tum ho tabhi kuch baat hai

Tumse kiran dhoop ki
Tumse siyaah raat hai
Tum bin main bin baat ka
Tum ho tabhi kuch baat hai

Karishme sach mein hote hain
Is baat ki tu misaal hai
Sawaalon ka jawaab hai
Ya khud hi tu ek sawaal hai?

Jitni bhi taarif karun main woh kam hai
Qasam se, tu kamaal hai, tu kamaal hai
Tu kamaal hai, tu kamaal hai
(Ke dikhta nahi magar kuch hai)