Ansuni si, ankahi si baatein hain jo
Hain kahan woh jo humare saath the?
Woh khaali-khaali raaston pe baarishon mein bheeg ke
Main kho jaaun kya phir kisi mein?
Ya mil jaaun is zameen mein?
Kho jaaun kahin main ya ho jaaun laapata?
Doori darmiyaan hai, darmiyaan hai faasla
Jaayein hum kahan? Jahan le jaaye yeh hawa
Baad tere ab yeh shaamein mujhse hain khafa
Teri yaadein wohi, baithe subah se hum, shaamein hui
Kho gaya hoon kahin, mujhse mujhi ko mila de koi
Aankhein yeh soi nahi, teri hi yeh raahein takti rahi
Dhoondein idhar se udhar, yahan se wahan yeh bhatakti rahi
Tera-mera rishta adhoora lage (adhoora lage)
Pyar tera kyun tujhse bhi jhootha lage (jhootha lage)
Honthon pe mere sada naam tera rahe (tera rahe)
Aankhon ko meri tu ab kyun kahin na dikhe? (kahin na dikhe)
Arsa hua hai dekhe huye
Kono mein khat jo phenke huye
Kaisa yeh maza hai? Kaisi yeh saza hai?
Jo tu saath hoke bhi nahi
It’s you, jiski panahein main chaahun
It’s you, jiske main sang rehna chaahun
It’s you, jiske main gham lena chaahun
It’s also you, jisko chu bhi na paaun
Phir kyun hum rahein mukhtalif?
Phir kyun padti hai yeh khalish
Phir kyun ab khilta hai chehra tera
Jab adhoora raha pyar tera-mera?
Aa jao tum abhi
Aankhon se choomenge teri jabi (teri jabi)
Na saza do abhi
Aankhon ko karne do tum lab-kushi (lab-kushi)
Na do rasta inhein
Aansu ko rehna hai aankhon mein hi (aankhon mein hi)
Aankhein takti rahein
Yahan se wahan, aasman se zameen (aasman se zameen)
Tera-mera rishta adhoora lage (adhoora lage)
Pyar tera kyun tujhse bhi jhootha lage (jhootha lage)
Honthon pe mere sada naam tera rahe (tera rahe)
Aankhon ko meri tu ab kyun kahin na dikhe? (kahin na dikhe)