Watan Yaad Rahega Lyrics

Lyrics & meaning

Watan Yaad Rahega

Jannat Zubair

ReleasedAugust 10, 2023 GenrePop

About this song

Watan Yaad Rahega Lyrics

Watan Yaad Rahega is a captivating Hindi Pop masterpiece, brought to life by the artistic prowess of Jannat Zubair. The song’s lyrics and music are the handiwork of Vibhas Arora, demonstrating expertise in both composition and production, capturing the essence of this creation through versatile talent. Watan Yaad Rahega was released on August 10, 2023. “Watan Yaad Rahega Lyrics” has stayed with many, making it a song people naturally come back to again and again. Below, you’ll find the lyrics for Jannat Zubair’s “Watan Yaad Rahega”, offering a glimpse into the profound artistry behind the song.

Listen to the complete track on Amazon Music

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Main mar bhi jaaun to watan ye yaad rahega
Sadiyon se hai aabaad aur aabaad rahega
Main mar bhi jaaun to watan ye yaad rahega
Sadiyon se hai aabaad aur aabaad rahega

Mitti mein hai jo iski mehak, aur na kahin
Mitti mein hai jo iski mehak, aur na kahin
Mere khoon ka har qatra zindabaad kahega
Mere khoon ka har qatra zindabaad kahega
Main mar bhi jaaun to watan ye yaad rahega

Khwaab se bhi hai badi mere desh ki kahaani
Baazuon mein itna dam ki palat de rawaani
Kitnon ne luta di iski shaan mein jawaani
Ek pal na sochun, pade jaan bhi ganwaani

Pahunchun kahin bhi main, meri pehchaan rahega
Mere desh ka tiranga meri shaan rahega

Mitti mein hai jo iski mehak, aur na kahin
Mitti mein hai jo iski mehak, aur na kahin
Mere khoon ka har qatra zindabaad kahega
Mere khoon ka har qatra zindabaad kahega
Main mar bhi jaaun to watan ye yaad rahega

Kashmir se leke Kanyakumari
Duniya mein alag baat hai hamaari
Kitne hon dharam, kitni hon bhaashaayen
Par ekta na tootti hamaari
Par ekta na tootti hamaari

Main mar bhi jaaun to watan ye yaad rahega
Sadiyon se hai aabaad aur aabaad rahega
Main mar bhi jaaun to watan ye yaad rahega
Sadiyon se hai aabaad aur aabaad rahega