(Yaad Teri)
Jis din se chhoda hai tune humein
Us din se jeena hai chhod diya
Baat khatm wahaan se shuru thi jahaan
Tum khoye kahin, hum the khoye yahan
Zikr tera labon pe tha shaam-o-sehar
Tum na aaye to chhaya hai dil pe keher
Roun raat-bhar, chain aaye nahi
Waqt deke humein tum kyun aaye nahi?
Kya qusoor, khata thi meri?
Baatein teri, yaad teri
Aaye mujhe yaad teri (yaad teri)
Kaise kahoon? Kat’ti nahi
Kat’ti na raatein meri
Chaah mein teri roya hoon main
Kaise yaqeen dilaun tujhe?
Jo hai hua, jaane bhi de
Jaane de na, jaane bhi de
Woh tere saath bitaaye pal
Yaad aayein woh beete kal
Meri raahein adhoori hain
Thoda saath mere tu chal
Jo hua na kabhi woh hai hone laga
Tujhko main apne lafzon mein khone laga
Kya likhoon main kahaani meri?
Baatein teri, yaad teri
Aaye mujhe yaad teri (yaad teri)
Kaise kahoon? Kat’ti nahi
Kat’ti na raatein meri
Aazmaati hai teri kami
Aankhon mein hai mere nami
Kyun hai shikwa tujhe mujhse?
Thoda kar le tu mera yaqeen
Teri chaah mein roya hoon main
Tujhe aaye na mujhpe yaqeen
Aise door hue mujhse
Jaise door aasman se zameen
Aazmaati hai teri kami
Aankhon mein hai mere nami
Kyun hai shikwa tujhe mujhse?
Thoda kar le tu mera yaqeen
Teri chaah mein roya hoon main
Tujhe aaye na mujhpe yaqeen
Aise door hue mujhse
Jaise door aasman se zameen