Yo
Log karte hain baatein, par mujhse bolte nahi
Woh dekhte hain sab, par mujhko dekhte nahi
Main jaata hoon jahan bhi, koi tokta nahi
Woh gali ka kutta ab mujh par bhaunkta nahi
Na hi khelta hai koi bhi ab mere saath
Na bulaata hai koi, chaahe ho birthday aur baarat
Main apple ko khaane se pehle kaat’ta nahi
Aur dil ki baatein kisi se ab baant’ta nahi
Yahan koi nahi, yahan koi nahi, yahan koi bhi nahi
Main sheher mein hoon aur bheed bhi hai, par koi bhi nahi
Yahan koi nahi, yahan koi nahi, yahan koi bhi nahi
Na ghar par, na garden, na chhat par, koi bhi nahi
Main toh YouTube reactions dekhta hoon with anjaan chehre
Kyonki lagta hai koi baitha hai just bagal mere
Main toh Facebook bhi use karta hoon bas memes share karne
Aur paani botal bharta hoon khaali kar phir bharne
Main pyaar ke baare mein ab zyada sochta nahi
Ab pehle jaisa na rota, sir nochta kabhi
Main kismat ko pehle jaisa ab daant’ta nahi
Aur dil ki baatein kisi se ab baant’ta nahi
Yahan koi nahi, yahan koi nahi, yahan koi bhi nahi
Main sheher mein hoon aur bheed bhi hai, par koi bhi nahi
Yahan koi nahi, yahan koi nahi, yahan koi bhi nahi
Na ghar par, na garden, na chhat par, koi bhi nahi
Main toh morning shows mein jaata hoon bas apne saath
I know I am no sexy, but sundar hain mere daant
Mujhe bachpan se hi andhere se tha lagta dar
Ab yeh hi mere saath mein hai ban ke mera ghar
Waise toh zyada log mujhko jaante nahi
Mere apne bhi apna ab mujhko maante nahi
Main line ko kabhi beech se kaat’ta nahi
Aur dil ki baatein kisi se ab baant’ta nahi
Yahan koi nahi, yahan koi nahi
Yahan koi nahi, yahan koi nahi
Yahan koi nahi, yahan koi nahi
Yahan koi nahi, yahan koi…
Yahan koi nahi, yahan koi nahi
Yahan koi nahi, yahan koi nahi
Yahan koi nahi, yahan koi nahi
Yahan koi nahi, yahan koi…
Bas main hoon aur yeh duniya, jahan mujhko na sunta hai koi
Oh, baaba taare, tum hi bolo, kahan jaaun? Main kya karoon abhi?
Dekho-dekho tum mujhe na, bas bhatakta raha main bin sabhi
Bas main hoon aur yeh duniya, jahan mera koi bhi nahi
Log sapno mein udte honge, par mera hai alag
Main girta rehta hoon, par neeche girta nahi
Main apple ko khaane se pehle kaat’ta nahi
Aur dil ki baatein kisi se ab baant’ta nahi