Dil mein khalti rahe ek kami
Pooche, “Tu kahaan rukegi?”
Main kahoon, “kabhi na tu chale sang
Yeh bhi chali”
Sang hai aasmaan, aur
Yeh thandi hawa, kya yeh rukegi?
Main rukoon, na rukoon
Inhein chalna yahin par aise hi
Aur main hoon besabar
Mere khwabon ke ghar jala kar aaya hoon
Har dard hai be-asar, maine piya zeher
Hoon bhi ya na agar
Kaisi-kaisi dagar, kahan se aaya hoon?
Har dard hai be-asar, maine piya zeher
Chehre pe laga chehra
Aur khud ko tu kehta naya
Laapata hai tu kab se
Mila na kisi ko jahaan
Yeh tamashe haseen-jawaan
Yeh dikhawe ke seeng hain, jaan
Mehfil mein laga ke bhi
Dil hai raha tanha
Tu sambhal ke chale
Yeh fisalti rahe, kya yeh rukegi?
Yahan doobe bina
Tu raha toh bata kaisi zindagi?
Mushkilon se kahan
Khud se haaraa jahan, kya woh sunegi?
Mai kahoon kabhi na
Tu chale sang, yeh bhi chali
Aur main hoon besabar
Mere khwabon ke ghar jala kar aaya hoon
Har dard hai be-asar, maine piya zeher
Hoon bhi ya na agar
Kaisi-kaisi dagar, kahan se aaya hoon?
Har dard hai be-asar, maine piya zeher