Zara Paas To Baitho Lyrics

Lyrics & meaning

Zara Paas To Baitho

Shreya Ghoshal

ReleasedDecember 12, 2022 GenreIndian

Choose your script

Read the Song Lyrics

Lyrics text size: 100%

Zara paas to baitho, zulfein sehlaao
Dil ki hai guzarish, madhoshi badhao
Zara paas to baitho, zulfein sehlaao
Dil ki hai guzarish, madhoshi badhao

Haan, pyaasi, hoon pyaasi main pyaar ki
Mujhpe ghata barsaao

Zara paas to baitho, zulfein sehlaao
Dil ki hai guzarish, madhoshi badhao

Mere labon pe tere labon ko
Dheere se rakh de, aaye qaraar
Toot ke hum ko pyaar karo tum
Hota nahi hai ab intzaar

Saanson mein saansein ghul jaane do
Aise na daaman chhudaao

Zara paas to baitho, zulfein sehlaao
Dil ki hai guzarish, madhoshi badhao

Yoon karvaton mein raat na jaaye
Le lo mujhe tum aagosh mein
Hasrat meri poori kar do
Subah talak na rahein hosh mein

Dasne lagi hain tanhaiyan
Aise na aankhein churaao

Zara paas to baitho, zulfein sehlaao
Dil ki hai guzarish, madhoshi badhao

Haan, pyaasi, hoon pyaasi main pyaar ki
Mujhpe ghata barsaao

Zara paas to baitho, zulfein sehlaao
Dil ki hai guzarish, madhoshi badhao