Saturday, September 7, 2024

Farq Hai

Farq Hai Lyrics

Farq Hai is a captivating Urdu Regional Indian masterpiece, brought to life by the artistic prowess of Satinder Sartaaj. The lyrics of the song are penned by Satinder Sartaaj, while its mesmerizing music is composed and produced by Beat Minister. Farq Hai was released on April 8, 2023. The song has captivated many and is often searched for with the query “Farq Hai Lyrics”. Below, you’ll find the lyrics for Satinder Sartaaj’s “Farq Hai”, offering a glimpse into the profound artistry behind the song.

Listen to the complete track on Amazon Music

Romanized Script
Native Script

Behtar baatein karne aur behtar hone mein farq hai
Zar ki sirf chamak rakhne aur zar hone mein farq hai

Yoon toh aalishaan imaarat mein bhi sote rehte hain
Yoon…

Daulatmand-ameer baat yeh sab aakhir mein kehte hain

Ke umda kamre har ek shakhs kiraaye par le sakta hai
Umda kamre har ek shakhs kiraaye par le sakta hai
Chaar-deewari hone mein aur ghar hone mein farq hai
Behtar baatein karne aur behtar hone mein farq hai
Zar ki sirf chamak rakhne aur zar hone mein farq hai

Kuch logon ne jiye hain aur kuch ne sirf guzaare hain

Zindgaaniyan jeene ki jaanib yeh faqat ishaare hain

Jaana chaahe ek hi manzil par hota hai sab ne, par
Safar khatam hone aur safar ke sir hone mein farq hai
Behtar baatein karne aur behtar hone mein farq hai
Zar ki sirf chamak rakhne aur zar hone mein farq hai

Yeh toh ek fitrat hai jismein kul makhlooq hai maahir bhi

Yeh toh ek hifaazat hai jo laazim bhi hai, zaahir bhi

Do cheezon ke iqhtilaaf ko samajh ke chaliyega kyonki
Chaukas hone aur kisi ka dar hone mein farq hai
Behtar baatein karne aur behtar hone mein farq hai
Zar ki sirf chamak rakhne aur zar hone mein farq hai

Jaise tum kuch waqt ke liye dili sajaavat bante ho
Chaukhat hi ban jaao, kyun Sartaaj rukaavat bante ho?

Jis pe taala lagne ki gunjaaish nahi hai bilkul bhi
Darwaaza hone mein aur ek dar hone mein farq hai
Behtar baatein karne aur behtar hone mein farq hai
Zar ki sirf chamak rakhne aur zar hone mein farq hai

बेहतर बातें करने और बेहतर होने में फ़र्क़ है
ज़र की सिर्फ़ चमक रखने और ज़र होने में फ़र्क़ है

यूँ तो आलीशान इमारत में भी सोते रहते हैं
यूँ…

दौलतमंद-अमीर बात ये सब आख़िर में कहते हैं

कि उम्दा कमरे हर एक शख़्स किराए पर ले सकता है
उम्दा कमरे हर एक शख़्स किराए पर ले सकता है
चार-दीवारी होने में और घर होने में फ़र्क़ है
बेहतर बातें करने और बेहतर होने में फ़र्क़ है
ज़र की सिर्फ़ चमक रखने और ज़र होने में फ़र्क़ है

कुछ लोगों ने जिए हैं और कुछ ने सिर्फ़ गुज़ारे हैं

ज़िंदगानियाँ जीने की जानिब ये फ़क़त इशारे हैं

जाना चाहे एक ही मंज़िल पर होता है सब ने, पर
सफ़र ख़त्म होने और सफ़र के सर होने में फ़र्क़ है
बेहतर बातें करने और बेहतर होने में फ़र्क़ है
ज़र की सिर्फ़ चमक रखने और ज़र होने में फ़र्क़ है

ये तो एक फ़ितरत है जिसमें कुल मख़्लूक़ है माहिर भी

ये तो एक हिफ़ाज़त है जो लाज़िम भी है, ज़ाहिर भी

दो चीज़ों के इख़्तिलाफ़ को समझ के चलिएगा क्योंकि
चौकस होने और किसी का डर होने में फ़र्क़ है
बेहतर बातें करने और बेहतर होने में फ़र्क़ है
ज़र की सिर्फ़ चमक रखने और ज़र होने में फ़र्क़ है

जैसे तुम कुछ वक़्त के लिए दिली सजावट बनते हो
चौखट ही बन जाओ, क्यूँ सरताज रुकावट बनते हो?

जिस पे ताला लगने की गुंजाइश नहीं है बिल्कुल भी
दरवाज़ा होने में और एक दर होने में फ़र्क़ है
बेहतर बातें करने और बेहतर होने में फ़र्क़ है
ज़र की सिर्फ़ चमक रखने और ज़र होने में फ़र्क़ है

Song Credits

Singer(s):
Satinder Sartaaj
Album:
Farq Hai - Single
Lyricist(s):
Satinder Sartaaj
Composer(s):
Satinder Sartaaj
Music:
Beat Minister
Music Label:
Satinder Sartaaj
Featuring:
Satinder Sartaaj
Released On:
April 8, 2023

Official Video

You might also like

Get in Touch

12,038FansLike
13,982FollowersFollow
10,285FollowersFollow

Other Artists to Explore

Carly Rae Jepsen

d4vd

Greeicy

Megan Thee Stallion

Rosie Darling