Kehne ko jashn e bahara hai, ishq yeh dekh ke hairaan hai

Phool se khushboo khafa-khafa hai gulshan mein
Chhupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
Saare sehme nazaare hain, soye-soye wakt ke dhaare hain
Aur dil mein khoi-khoi si baatein hain, ho-ho

Kaise kahein kya hai sitam? Sochte hain ab yeh hum
Koi kaise kahe woh hain ya nahi humare?
Karte toh hain saath safar, faasle hain phir bhi magar
Jaise milte nahi kisi dariya ke do kinare
Paas hain, phir bhi paas nahi
Hum ko yeh gam raas nahi
Sheeshe ki ek deewar hai jaise darmiyan
Saare sehme nazaare hain, soye-soye wakt ke dhaare hain
Aur dil mein khoi-khoi si baatein hain, ho-ho
Kehne ko jashn e bahara hai, ishq yeh dekh ke hairaan hai
Phool se khushboo khafa-khafa hai gulshan mein
Chhupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
Humne jo tha nagma suna, dil ne tha usko chuna
Yeh daastaan humein wakt ne kaisi sunai?
Hum jo agar hain gamgeen, woh bhi udhar khush toh nahi
Mulaqaton mein hai jaise ghul si gayi tanhaai
Mil ke bhi hum milte nahi
Khile ke bhi gul khilte nahi
Aankho mein hain bahaarein, dil mein khizaan