Naina, bhole naina
Kaise paayein chaina?
Phoolon ke badle kaanton ko chun ke
Reshmi sapne palkon se bun ke
Dil ne chhupaye naino tale
Kuch khwab the mere jo main aankhon mein lapete
Dhadkano mein samete
Chunri ke pallu se dhaaga-dhaaga maine baandhe
Titli ke rangon jaise kuch khwab the mere
Jo na mere ho sake, kuch khwab the mere
Dhuan-dhuan raaston pe saath chalte hue
Bekhabar rat-jagon mein hum yoon jalte hue
Aa gaye kahan? Paas hoke bhi dooriyan hain darmiyaan
Tumne na jaana, sehme hue
Kuch khwab the mere jo main aankhon mein lapete
Dhadkano mein samete
Chunri ke pallu se dhaaga-dhaaga maine baandhe
Titli ke rangon jaise kuch khwab the mere
Jo na mere ho sake, kuch khwab the mere
Bujhe-bujhe dil se mere aansu peete hue
Jeete-jee mar na jaaun tanha jeete hue
Kaise main kahun? Raas hi nahi aas ke woh bezubaan
Dil ki tahon mein baste hue