Yeah, yeah
Ab na main karta hoon shayari, na woh padhti Faiz hai (nahi)
Mohabbat jail, jismein hum hum dono umar-qaid hain (yeah-yeah)
Rahegi gavaah, kabhi bola ussey jhooth nahi (never)
Sawaal karne waale hain, jawab dene ka mood nahi
Chhod ke jaana bhi ek hai hunar se kam nahi
Mujhe chhodne ki zimmedar ab woh khud thi (facts)
Mujhe afsos nahi hai ke woh mujhe chhod gayi
Afsos yeh wo mujhe chhod ke khush thi (damn)
Jahan tu bole ab, us jagah se main hilta nahi tha (nahi)
Tera toh humshaqal bhi sahi se tujhmein milta nahi tha
Marne se pehle tujhse milna hai har soorat mein (har soorat mein)
Ab usey shikva hai ke Taimour mujhse milta nahi tha
Cheer diya mujhe inhone, rakh do in khaalon ko
Mohabbat ho gayi tumhein, chalo ab mubarak ho
Aur tum kya jaano ke yeh mohabbat kya hoti hai
(What is thi?)
Mohabbat cheez hi aisi milti qismat walon ko (facts)
Aur andar mere tera diya dard behta hai
Teri hi gali mein, tere bagal mein woh rehta hai
Mujhse poochte, “Yeh dard kaise sehta hai?” (How?)
Kar deta bayaan, Taimour gaano mein sab kehta hai
In aansuon ko kaise rokein hum sab? Aansu toh behta hai
Jo deta dard phir woh wapas dard bhi leta hai
Meri bebasi ka aalam yeh, din bhi guzaarun sog mein
Maanga usne khula aur kaha, “Milenge ab court mein”
(Damn, damn)
Aa jayenge peeche tere saare haath dho ke (yeah-yeah)
Tu koi anokha nahi, tujhe bhi honge dhoke (yeah)
Tu bhi bolega sabko yaar ke main theek hoon (I’m fine, man)
Tu bhi hasega, phir mitayega aansu ro ke (facts)
Aur hum do lehrein hain jo ek hi ban kar behti (ek hi)
Yeh lehrein wafadaar hain, yeh khud se nahi kehti
Main in lehron ke kinaare hi baith ke likh raha geet (geet)
Woh dono lehrein milein, leke baitha yeh ummeed (yeah)
Aur hogi meri jeet jab lehrein milein dobara (dobara)
Lehron ne kiya shor, tera naam jo pukara (yeah-yeah)
Is dariya ka koi zariya nahi hai, dariya seedha jaata hai (facts)
Taimour kitna bura hai, woh gaane bhi toh gaata hai
Waqt guzarta gaya, zindagi ek daud hai
Har qisam ke gham mile, par tera gham kuch aur hai
Woh aankhein jo mere siva kisi ko dekhein na (kisi ko)
Par unn aankhon ka asal haqdaar koi aur hai (right, man)
Sheher-e-dil mein kamata kaise paise main?
Woh qeemat hoti meri, aur tankhwaah kuch aur hai (damn)
Tujhe dhoondhne mein zindagi kar di hai basar
Meri talaash tu, teri talaash koi aur hai (facts)
Poori raat mujhse baatein karke class mein woh so gayi thi (she slept)
Utha diya tha, bas yeh ghalti mujhse ho gayi thi
Mujhe yaad hai ek din school mein main gir gaya tha
Ek maamuli si chot par woh ro gayi thi (I remember that)
Nafrat hai usko mujhse aur mere aane se
Socha bacha lunga mohabbat apni gaane gaane se
Tune apne haath se lagaye hain mere marha
Main chotein bhi lagane laga tha isi bahaane se (damn)
Lagta aise jaise raat-bhar woh soti nahi hai (nahi)
Mohabbat har kisi ko har kisi se hoti nahi hai
Mud ke bhi nahi dekha jab gayi tu dil yeh todkar
Kamane jaata hoon aaraam main aaraam chhod kar
Yeh daastaan suna raha hoon saalgirah ke din
Aaj teri saalgirah hai na? Toh tu aa ke mujhse mil
Happy Birthday to you, aaj tum khushiyan manaao
Kitne dost ban gaye hain uske mujhe nahi batao
Maza aata tha jeene mein jab tum thi mere saath
Agar yeh sun rahi ho tum toh jaan lo yeh baat
Teri yaad mujhe aati toh khatak deta hoon fauran
Aur aaj saalgirah hai teri, yaadein aane doonga aaj
Happy Birthday