Tum mud toh paaoge, par laut na paaoge
Tum mud toh paaoge, par laut na paaoge
Meri yaad aayegi uss maqaam pe kabhi
Tum pakad ke gaadi shayad mere gaon aaoge
Tum pakad ke gaadi shayad mere gaon aaoge
Main milunga hi nahi uss makaan pe kabhi
Tum pakad ke gaadi shayad…
Surat station ke bahar thandi bench thi, chai garam thi
Bagal mein ek taau ke haath mein beedi thi jo lagbhag khatam thi
Maine bas do-chaar chuskiyan li thi ke utne mein taau ne doosri sulga li thi
Pehli ko fenka zameen par aur jooti se kuchal diya
Mujhe jaane kyun teri yaad aayi, main utha aur chal diya
Shaamon ka kaam toh dhalna hai, dhalengi tab bhi
Havaon ka kaam toh chalna hai, chalengi tab bhi
Zulfon ki toh ye fitrat hai, udengi tab bhi
Koi aur savaarega toh bhi meri yaad aayegi
Tum soch toh loge, par bol na paaoge
Tum soch toh loge, par bol na paaoge
Dil ki baat aayegi na jabaan pe kabhi
Tum pakad ke gaadi shayad mere gaon aaoge
Main milunga hi nahi uss makaan pe kabhi
Jaisalmer mein jhaad ke mitti apne jooton-kapdon se
Ek teele par main baitha tha, door jahan ke lafdon se
Door kahin woh dhalta sooraj mujhe chhod ke tanha dhal gaya
Uss thandi raat mein, uss thandi ret par main lete-lete jal gaya
Shabd hain, dard hai, kalakaari hai, geet bana lunga
Un geeton ki keemat bhaari hai, main kama lunga
Oh, tera naam na lunga, khuddari hai, main chhupa lunga
Koi gungunayega toh tum samajh hi jaaoge
Tum paise-ohdon par itra na paaoge
Tum paise-ohdon par itra na paaoge
Itni taaliyan hongi mere naam pe kabhi
Tum pakad ke gaadi shayad mere gaon aaoge
Main milunga hi nahi uss makaan pe kabhi