Tasveer man mein basi yaar ki
Tasbeeh padi tere pyaar ki
Dil yeh mera tere dil se ja mila hai
Rab se jisko maanga, tu woh sila hai
Taqdeer jab se tujhse judi hai
Jaam-e-mohabbat, zahe aashiqi hai
Poochho na, poochho na, poochho na
Hum sataaye hue hain
Sataaye hue hain, sataaye hue hain
Yeh ishq tum na karna, yeh rog he lagaaye
Dafan khud kare hai, phir sog bhi manaaye

Phir sog bhi manaaye
Aashiqon ke dil mein yeh aas bhi lagaaye

Phir aas ko bujha ke yeh aag bhi lagaaye

Kaise ho shukriya, mujhko jo chun liya
Haal-e-dil na keh sake, tumne toh sun liya
Ehad-e-mohabbat ko poora kiya
Dard dil ka leke dil de diya
Yeh ishq tum na karna, yeh rog he lagaaye
Dafan khud kare hai, phir sog bhi manaaye
Ashiqon ke dil mein yeh aas bhi lagaaye
Phir aas ko bujha ke yeh aag bhi lagaaye
Phir aas ko bujha ke yeh aag bhi lagaaye
Koi toh ho mera apna, koi toh sahaara ho
Gham mere theher toh jaaye, koi kinaara ho
Thes aisi dil pe lagi, kya gunaah humaara tha?
Maangte hain yeh khuda se
“Pyaar na dobaara ho, pyaar na dobaara ho”