Gareebi se bura haal
Dharm patni ke baar-baar kehne par
Sudama na chahate huye
Apne bachpan ke mitra Krishna se milne chala
Dwarkadhish ke mehlon ke andar jaane ka prayas kiya
Toh dwarpalon ne roka, ayy kidhar jaata hai?
Sudama ne prarthana ki, ae dwarpalon
Dekho-dekho yeh gareebi, yeh gareebi ka haal
Krishna ke dar pe vishwas leke aaya hoon
Mere bachpan ka yaar hai mera Shyam
Yahi sochkar main aas karke aaya hoon
Arey, dwarpalon, Kanhaiya se kah do
Arey, dwarpalon, uss Kanhaiya se kah do
Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai
(Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai)
Haan, bhatakte-bhatakte na jaane kahan se
Bhatakte-bhatakte na jaane kahan se
Tumhare mehel ke kareeb aa gaya hai
(Tumhare mehel ke kareeb aa gaya hai)
Hey, arey, dwarpalon, Kanhaiya se keh do
Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai
(Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai)
Hoye, na sir pe hai pagdi, na tan pe hai jama
Bata do Kanhaiya ko naam hai Sudama, haan
(Bata do Kanhaiya ko naam hai Sudama)
Haan (Bata do Kanhaiya ko naam hai Sudama)
Na sir pe hai pagdi, na tan pe hai jama
Bata do Kanhaiya ko naam hai Sudama, ho
Na sir pe hai pagdi, na tan pe hai jama
Bata do Kanhaiya ko naam hai Sudama, ho
(Bata do Kanhaiya ko naam hai Sudama)
Bas ek baar Mohan se jaakar ke keh do
Tum ek baar Mohan se jaakar ke keh do
Ki milne sakha bad-naseeb aa gaya hai
(Ki milne sakha bad-naseeb aa gaya hai)
Haan, arey, dwarpalon, Kanhaiya se keh do
Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai
(Ki dar pe Sudama gareeb aa gaya hai)
Sunte hi daude chale aaye Mohan
Lagaya gale se Sudama ko Mohan, haan
(Lagaya gale se Sudama ko Mohan)
(Lagaya gale se Sudama ko Mohan)
Oh, sunte hi daude chale aaye Mohan
Lagaya gale se Sudama ko Mohan, haan
Sunte hi daude chale aaye Mohan
Lagaya gale se Sudama ko Mohan, haan
(Lagaya gale se Sudama ko Mohan)
Hua Rukmini ko bahut hi achambha
Hua Rukmini ko bahut hi achambha
“Yeh mehman kaisa ajeeb aa gaya hai?”
(“Yeh mehman kaisa ajeeb aa gaya hai?”)
Haan, hua Rukmini ko bahut hi achambha
“Yeh mehman kaisa ajeeb aa gaya hai?”
(“Yeh mehman kaisa ajeeb aa gaya hai?”)
Ho, barabar pe apne Sudama baithaye
Charan aansuon se Shyam ne dhulaye, haan
(Charan aansuon se Shyam ne dhulaye)
(Charan aansuon se Shyam ne dhulaye)
Barabar mein apne Sudama baithaye
Charan aansuon se Shyam ne dhulaye, haan
Barabar mein apne Sudama baithaye
Charan aansuon se Prabhu ne dhulaye, haan
(Charan aansuon se Prabhu ne dhulaye)
Na, na ghabrao pyaare zara tum, Sudama
Na ghabrao pyaare zara tum, Sudama
Khushi ka samaa tere kareeb aa gaya hai
(Khushi ka samaa tere kareeb aa gaya hai)
Oye, na ghabrao pyaare zara tum, Sudama
Na ghabrao pyaare zara tum, Sudama
Khushi ka samaa tere kareeb aa gaya hai
(Khushi ka samaa tere kareeb aa gaya hai)
(Khushi ka samaa tere kareeb aa gaya hai)
(Khushi ka samaa tere kareeb aa gaya hai)
Na ghabrao pyaare zara tum, Sudama
Na ghabrao pyaare zara bhi, Sudama
Khushi ka samaa tere kareeb aa gaya hai
Khushi ka samaa tere kareeb aa gaya hai, haan
(Khushi ka samaa tere kareeb aa gaya hai)
(Khushi ka samaa tere kareeb aa gaya hai)
(Khushi ka samaa tere kareeb aa gaya hai)
Khushi ka samaa tere kareeb aa gaya hai